Sher of Farhan Dil
apnī tārīf sun ke ḳhush mat ho
varna dil meñ ġhurūr paltā hai
apni tarif sun ke KHush mat ho
warna dil mein ghurur palta hai
aql yūñhī kise milī hai dost
tajraba āgahī meñ Dhaltā hai
aql yunhi kise mili hai dost
tajraba aagahi mein Dhalta hai
tum jahāñ ho vahāñ ye yaad rakho
har sitāra jagah badaltā hai
tum jahan ho wahan ye yaad rakho
har sitara jagah badalta hai
zahr jab aadmī ugaltā hai
tab muqābil kahāñ sañbhaltā hai
zahr jab aadmi ugalta hai
tab muqabil kahan sanbhalta hai
itnī jhelī hai dil ne māyūsī
lā-shu.ūrī meñ haath maltā hai
itni jheli hai dil ne mayusi
la-shuuri mein hath malta hai
aa.ine se banā.e rakh har dam
aa.ina shaḳhsiyat badaltā hai
aaine se banae rakh har dam
aaina shaKHsiyat badalta hai
kyā zarūrī hai saath deñ sāthī
yuuñ to saaya bhī saath chaltā hai
kya zaruri hai sath den sathi
yun to saya bhi sath chalta hai
sham.a kā jism roz jaltā hai
tabsira raushnī pe chaltā hai
shama ka jism roz jalta hai
tabsira raushni pe chalta hai
ashk jo aañkh se nikaltā hai
hiddat-e-ġham se dil pighaltā hai
ashk jo aankh se nikalta hai
hiddat-e-gham se dil pighalta hai