Sher of Farhat Abbas
donoñ lāzim haiñ lā-zavāl bhī haiñ
ik tirā husn ik mirā ye ishq
donon lazim hain la-zawal bhi hain
ek tera husn ek mera ye ishq
har taraf dostī kā mela hai
phir bhī har aadmī akelā hai
har taraf dosti ka mela hai
phir bhi har aadmi akela hai
tere sāñche meñ Dhal gayā āḳhir
shahr saarā badal gayā āḳhir
tere sanche mein Dhal gaya aaKHir
shahr sara badal gaya aaKHir
haar jā.egī zindagī lekin
hārne kā nahīñ mirā ye ishq
haar jaegi zindagi lekin
haarne ka nahin mera ye ishq
jise bhī dost banāyā vo ban gayā dushman
ye ham ne kaun sī taqsīr kī sazā paa.ī
jise bhi dost banaya wo ban gaya dushman
ye hum ne kaun si taqsir ki saza pai
kis sādgī se vo bhī daġhā de gayā mujhe
jis shaḳhs ne kahā thā kabhī devtā mujhe
kis sadgi se wo bhi dagha de gaya mujhe
jis shaKHs ne kaha tha kabhi dewta mujhe
'farhat' sunā.ūñ kis ko kahānī maiñ gaañv kī
ghar ghar meñ zinda lāsheñ thiiñ majbūr maaoñ kī
'farhat' sunaun kis ko kahani main ganw ki
ghar ghar mein zinda lashen thin majbur maon ki
mere har ek sach pe unheñ jhuuT kā gumāñ
kartā hai bad-gumān ḳhudā ḳhair hī kare
mere har ek sach pe unhen jhuT ka guman
karta hai bad-guman KHuda KHair hi kare
maiñ aqīdat meñ na.at likhtā huuñ
maiñ haqīqat meñ na.at likhtā huuñ
main aqidat mein nat likhta hun
main haqiqat mein nat likhta hun
shahr kā shahr mirī jaañ kī talab rakhtā hai
aaj sochā hai yahī jaan kā sadqa de duuñ
shahr ka shahr meri jaan ki talab rakhta hai
aaj socha hai yahi jaan ka sadqa de dun
ik dūsre se ḳhauf kī shiddat thī is qadar
kal raat apne-āp se maiñ ḳhud lipaT gayā
ek dusre se KHauf ki shiddat thi is qadar
kal raat apne-ap se main KHud lipaT gaya
vo mere baḳht kī tahrīr kyuuñ nahīñ bantā
vo merā ḳhvāb hai ta.abīr kyuuñ nahīñ bantā
wo mere baKHt ki tahrir kyun nahin banta
wo mera KHwab hai tabir kyun nahin banta
phaile haiñ saare shahr meñ qisse ajiib se
guzrā hai jab bhī phuul sā chehra qarīb se
phaile hain sare shahr mein qisse ajib se
guzra hai jab bhi phul sa chehra qarib se
chehre badal badal ke kahānī sunā ga.e
dard-o-alam firāq mirī jaañ ko aa ga.e
chehre badal badal ke kahani suna gae
dard-o-alam firaq meri jaan ko aa gae
ye kā.enāt aaj bhī mansūb aap se
ye kā.enāt aaj bhī jāgīr aap kī
ye kaenat aaj bhi mansub aap se
ye kaenat aaj bhi jagir aap ki
tum use le chalo lab-e-kausar
ai farishto ye karbalā.ī hai
tum use le chalo lab-e-kausar
ai farishto ye karbalai hai
zalzaloñ kī numūd se 'farhat'
mustaqar mustaqar nahīñ rahte
zalzalon ki numud se 'farhat'
mustaqar mustaqar nahin rahte
-
Tag : Earthquake
raqs karte hue bagūloñ meñ
mātamī shor bhī havā kā hai
raqs karte hue bagulon mein
matami shor bhi hawa ka hai
ta.amīr kar ga.e kabhī mismār ho ga.e
lamhe mirī uThān ko dīvār kar ga.e
tamir kar gae kabhi mismar ho gae
lamhe meri uThan ko diwar kar gae
betābī-e-iz.hār ne yuuñ ḳhaak kiyā hai
duzdīda-nigāhī ne mujhe chaak kiyā hai
betabi-e-izhaar ne yun KHak kiya hai
duzdida-nigahi ne mujhe chaak kiya hai
din nikalte hī badan par habs kī yūrish huī
rāt-bhar sochoñ ke pathrāv se sar jaltā rahā
din nikalte hi badan par habs ki yurish hui
raat-bhar sochon ke pathraw se sar jalta raha
laakh ajzā meñ ho gayā taqsīm
kyā ajab mujtam.a huā 'farhat'
lakh ajza mein ho gaya taqsim
kya ajab mujtama hua 'farhat'
baat ahl-e-junūñ kī kyā samjhe
vo ḳhirad jo kaḌe ziyān meñ hai
baat ahl-e-junun ki kya samjhe
wo KHirad jo kaDe ziyan mein hai