Dohe of Farooq Engineer
āñkhoñ ko yuuñ bhā gayā us kā rūp-anūp
sardī meñ achchhī lage jaise kachchī dhuup
aankhon ko yun bha gaya us ka rup-anup
sardi mein achchhi lage jaise kachchi dhup
samay ke dhāre dekh kar hotā hai vishvās
ek na ek din dekhnā sher chareñge ghaas
samay ke dhaare dekh kar hota hai wishwas
ek na ek din dekhna sher charenge ghas
kis ko ab dikhlā.eñ ham apne dil kā ḳhuun
sunte aa.e haiñ yahī andhā hai qānūn
kis ko ab dikhlaen hum apne dil ka KHun
sunte aae hain yahi andha hai qanun