Farrukh Zohra Gilani
Ghazal 11
Nazm 7
Sher-o-Shayari 5
abhī talak hai sadā pāniyoñ pe Thahrī huī
agarche Duub chukā hai pukārne vaalā
abhi talak hai sada paniyon pe Thahri hui
agarche Dub chuka hai pukarne wala
-
Share this
- See Ghazal
mire jazbe mirī shahādat haiñ
bahte aañsū shahīd kartī huuñ
mere jazbe meri shahadat hain
bahte aansu shahid karti hun
-
Share this
- See Ghazal
dayār-e-fikr-o-hunar ko nikhārne vaalā
kahāñ gayā mirī duniyā sañvārne vaalā
dayar-e-fikr-o-hunar ko nikhaarne wala
kahan gaya meri duniya sanwarne wala
-
Share this
- See Ghazal
har shaḳhs ko fareb-e-nazar ne kiyā shikār
har shaḳhs gum hai gumbad-e-jāñ ke hisār meñ
har shaKHs ko fareb-e-nazar ne kiya shikar
har shaKHs gum hai gumbad-e-jaan ke hisar mein
-
Share this
- See Ghazal
tum to ḳhud sahrā kī sūrat bikhre bikhre lagte ho
'farruḳh' se 'farruḳh' ko socho kaise tum milvāoge
tum to KHud sahra ki surat bikhre bikhre lagte ho
'farruKH' se 'farruKH' ko socho kaise tum milwaoge
-
Share this
- See Ghazal