Sher of Farzana Naz
ye tasavvur hī jaan levā hai
vo kisī aur kā hai merā nahīñ
ye tasawwur hi jaan lewa hai
wo kisi aur ka hai mera nahin
anā roke hue hai ham ko varna
tumheñ vāpas bulānā chāhte haiñ
ana roke hue hai hum ko warna
tumhein wapas bulana chahte hain
mujh pe āsān ho gayā thā vo
vo bhī urdu meñ baat kartā thā
mujh pe aasan ho gaya tha wo
wo bhi urdu mein baat karta tha
shahr meñ ham sā bhī nahīñ koī
ik vahī be-misāl thoḌī hai
shahr mein hum sa bhi nahin koi
ek wahi be-misal thoDi hai
koī raah dete nahīñ dā.ere bhī
hai jhīloñ kā paanī adhūrī mohabbat
maiñ us kī huuñ lekin vo merā nahīñ hai
ye puurī kahānī adhūrī mohabbat
koi rah dete nahin daere bhi
hai jhilon ka pani adhuri mohabbat
main us ki hun lekin wo mera nahin hai
ye puri kahani adhuri mohabbat
haiñ udāsī ke aur bhī asbāb
mujh ko terā malāl thoḌī hai
hain udasi ke aur bhi asbab
mujh ko tera malal thoDi hai
ik hamārī sadā thī is ban meñ
lo jī ḳhāmosh ho ga.e ham bhī
ek hamari sada thi is ban mein
lo ji KHamosh ho gae hum bhi
hijrat mujh se lipaT ga.ī hai
paañv meñ kitne aur safar haiñ
hijrat mujh se lipaT gai hai
panw mein kitne aur safar hain
ik ma.asūm parinda hai dil
un āñkhoñ meñ jaal hai sāhab
ek masum parinda hai dil
un aankhon mein jal hai sahab