Sher of Fauziya rabab
dekh suqrāt ne bas zahr piyā thā lekin
zindagī maiñ to tujhe ghol ke pī jā.ūñgī
dekh suqraat ne bas zahr piya tha lekin
zindagi main to tujhe ghol ke pi jaungi
tumhārī shab hai mātam-kunāñ abhī mujh meñ
tumhārā dard abhī tak siyah libās meñ hai
tumhaari shab hai matam-kunan abhi mujh mein
tumhaara dard abhi tak siyah libas mein hai
kuchh is liye bhī mujhe kāmyābī miltī hai
maiñ apne baabā ke naqsh-e-qadam pe chaltī huuñ
kuchh is liye bhi mujhe kaamyabi milti hai
main apne baba ke naqsh-e-qadam pe chalti hun
vaqt jab aa.ina dikhātā hai
aadmī ḳhud ko bhuul jaatā hai
waqt jab aaina dikhata hai
aadmi KHud ko bhul jata hai
aaj phir tum ko ham ne dekhā hai
aaj mahshar banī haiñ ye āñkheñ
aaj phir tum ko hum ne dekha hai
aaj mahshar bani hain ye aankhen
ham ne ġhazloñ meñ jo utārā hai
tirī āñkhoñ kā isti.āra hai
hum ne ghazlon mein jo utara hai
teri aankhon ka istiara hai
mere ḳhvāboñ meñ roz aatī haiñ
apnī āñkheñ sañbhāl kar rakhiye
mere KHwabon mein roz aati hain
apni aankhen sanbhaal kar rakhiye
merī bīnā.ī kam nahīñ hogī
merī āñkhoñ meñ maañ kā chehra hai
meri binai kam nahin hogi
meri aankhon mein man ka chehra hai
mujh ko har lamha mirī maañ se mohabbat hai 'rabāb'
maiñ kisī roz bhulā duuñ use mumkin hī nahīñ
mujh ko har lamha meri man se mohabbat hai 'rabab'
main kisi roz bhula dun use mumkin hi nahin
ishq jab se mujhe mayassar hai
ḳhud ko hotī nahīñ mayassar maiñ
ishq jab se mujhe mayassar hai
KHud ko hoti nahin mayassar main
tīrgī jo baḌhtī hai ik diyā jalātī huuñ
yuuñ bhī apnī hastī ko aa.ina banātī huuñ
tirgi jo baDhti hai ek diya jalati hun
yun bhi apni hasti ko aaina banati hun
jab vo kahtī hai yuuñ ki uf tauba
merī tauba hī TuuT jaatī hai
jab wo kahti hai yun ki uf tauba
meri tauba hi TuT jati hai
kūza-gar maiñ tirī mohabbat meñ
apnī sūrat bigāḌ letī huuñ
kuza-gar main teri mohabbat mein
apni surat bigaD leti hun
kahā us ne batāo mere bin ye zindagī kyā hai
kahā maiñ ne vahī jo pāniyoñ maiñ jhaag hote haiñ
kaha us ne batao mere bin ye zindagi kya hai
kaha main ne wahi jo paniyon main jhag hote hain
mujh se pūchhā jo kisī ne tirī pahchān batā
maiñ pukārī maiñ tumhārī maiñ tumhārī maulā
mujh se puchha jo kisi ne teri pahchan bata
main pukari main tumhaari main tumhaari maula
aks jo āsmāñ pe rakkhā hai
ek din aa.ine meñ utregā
aks jo aasman pe rakkha hai
ek din aaine mein utrega
sar pe gar sā.ebāñ nahīñ to kyā
bhayyā merā to kul jahāñ ho tum
sar pe gar saeban nahin to kya
bhayya mera to kul jahan ho tum