Sher of George Puech Shor
dil meñ apne aarzū sab kuchh hai aur phir kuchh nahīñ
do jahāñ kī justujū sab kuchh hai aur phir kuchh nahīñ
dil mein apne aarzu sab kuchh hai aur phir kuchh nahin
do jahan ki justuju sab kuchh hai aur phir kuchh nahin
guzishta saal jo dekhā vo ab kī saal nahīñ
zamāna ek sā bas har baras nahīñ chaltā
guzishta sal jo dekha wo ab ki sal nahin
zamana ek sa bas har baras nahin chalta
ik nazar ne kiyā hai kaam tamām
aarzū bhī to thī yahī dil kī
ek nazar ne kiya hai kaam tamam
aarzu bhi to thi yahi dil ki
dete na dil jo tum ko to kyuuñ bantī jaan par
kuchh aap kī ḳhatā na thī apnā qusūr thā
dete na dil jo tum ko to kyun banti jaan par
kuchh aap ki KHata na thi apna qusur tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
isī ḳhayāl meñ din-rāt maiñ taḌaptā huuñ
tumhīñ qarār bhī doge jo be-qarār kiyā
isi KHayal mein din-raat main taDapta hun
tumhin qarar bhi doge jo be-qarar kiya
zarre kī tarah ḳhaak meñ pāmāl ho ga.e
vo jin kā āsmāñ pe sar-e-pur-ġhurūr thā
zarre ki tarah KHak mein pamal ho gae
wo jin ka aasman pe sar-e-pur-ghurur tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tumhāre ishq meñ kyā kyā na iḳhtiyār kiyā
kabhī falak kā kabhī ġhair kā vaqār kiyā
tumhaare ishq mein kya kya na iKHtiyar kiya
kabhi falak ka kabhi ghair ka waqar kiya
jahāñ meñ zar kā hai kārḳhāna na koī apnā na hai yagāna
talāsh-e-daulat meñ hai zamāna ḳhudā hī hāfiz hai muflisī kā
jahan mein zar ka hai karKHana na koi apna na hai yagana
talash-e-daulat mein hai zamana KHuda hi hafiz hai muflisi ka
us māh-rū pe aañkh kisī kī na paḌ sakī
jalva thā tuur kā ki sarāsar vo nuur thā
us mah-ru pe aankh kisi ki na paD saki
jalwa tha tur ka ki sarasar wo nur tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
duur ham se haiñ vo to kyā Dar hai
paas hai apne aarsī dil kī
dur hum se hain wo to kya Dar hai
pas hai apne aarsi dil ki
hai talāsh-e-do-jahāñ lekin ḳhabar apnī kise
jīte-jī tak justujū sab kuchh hai aur phir kuchh nahīñ
hai talash-e-do-jahan lekin KHabar apni kise
jite-ji tak justuju sab kuchh hai aur phir kuchh nahin
adam se hastī meñ jab ham aa.e na koī hamdard saath laa.e
jo apne the vo hue parā.e ab aasrā hai to bekasī kā
adam se hasti mein jab hum aae na koi hamdard sath lae
jo apne the wo hue parae ab aasra hai to bekasi ka
jab javānī ga.ī chhuḌā kar haath
us pe piirī na kuchh chalī dil kī
jab jawani gai chhuDa kar hath
us pe piri na kuchh chali dil ki
shauq ne kī jo rahbarī dil kī
manzil-e-ishq tai huī dil kī
shauq ne ki jo rahbari dil ki
manzil-e-ishq tai hui dil ki
jaan par apnī haa.e kyuuñ bantī
baat jo mānte kabhī dil kī
jaan par apni hae kyun banti
baat jo mante kabhi dil ki
havā ke ghoḌe pe rahtā hai vo savār mudām
kisī kā us ke barābar faras nahīñ chaltā
hawa ke ghoDe pe rahta hai wo sawar mudam
kisi ka us ke barabar faras nahin chalta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ruke hai āmad-o-shud meñ nafas nahīñ chaltā
yahī hai hukm-e-ilāhī to bas nahīñ chaltā
ruke hai aamad-o-shud mein nafas nahin chalta
yahi hai hukm-e-ilahi to bas nahin chalta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ik ḳhayāl-o-ḳhvāb hai a 'shor' ye bazm-e-jahāñ
yaar aur jām-o-subū sab kuchh hai aur phir kuchh nahīñ
ek KHayal-o-KHwab hai a 'shor' ye bazm-e-jahan
yar aur jam-o-subu sab kuchh hai aur phir kuchh nahin
paik-e-ḳhayāl bhī hai ajab kyā jahāñ-numā
aayā nazar vo paas jo apne se duur thā
paik-e-KHayal bhi hai ajab kya jahan-numa
aaya nazar wo pas jo apne se dur tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nahīñ hai TuuTe kī buuTī jahān meñ paidā
shikasta jab huā tār-e-nafas nahīñ chaltā
nahin hai TuTe ki buTi jahan mein paida
shikasta jab hua tar-e-nafas nahin chalta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download