Gopal Mittal
Ghazal 33
Nazm 13
Sher-o-Shayari 9
fitrat meñ aadmī kī hai mub.ham sā ek ḳhauf
us ḳhauf kā kisī ne ḳhudā naam rakh diyā
fitrat mein aadmi ki hai mubham sa ek KHauf
us KHauf ka kisi ne KHuda nam rakh diya
-
Share this
- See Ghazal
kyā kījiye kashish hai kuchh aisī gunāh meñ
maiñ varna yuuñ fareb meñ aatā bahār ke
kya kijiye kashish hai kuchh aisi gunah mein
main warna yun fareb mein aata bahaar ke
-
Share this
- See Ghazal
tark-e-ta.alluqāt ḳhud apnā qusūr thā
ab kyā gila ki un ko hamārī ḳhabar nahīñ
tark-e-talluqat KHud apna qusur tha
ab kya gila ki un ko hamari KHabar nahin
-
Share this
- See Ghazal
Qisse 3
BOOKS 391
Image Shayari 1
daur-e-falak ke shikve gile rozgaar ke hai.n mashGale yahii dil-e-naa-kardaa-kaar ke yuu.n dil ko chhe.D kar nigah-e-naaz jhuk ga.ii chhup jaa.e ko.ii jaise kisii ko pukaar ke siine ko apne apnaa garebaa.n banaa ke ham qaa.el nahii.n hai.n pairahan-e-taar-taar ke kyaa kiijiye kashish hai kuchh aisii gunaah me.n mai.n varna yuu.n fareb me.n aataa bahaar ke ik dil aur us pe hasrat-e-armaa.n kaa ye hujuum kyaa kyaa karam hai.n mujh pe mire kard-gaar ke ham ko to roz-e-hashr kaa bhii kuchh yaqii.n nahii.n kyaa muntazir huu.n vaada-e-fardaa-e-yaar ke kis dil se teraa shikva-e-bedaad kar sake.n maare hu.e hai.n ham nigah-e-sharmsaar ke