Sher of Haider Allahabadi
tirī yaad aa.ī to kahtī haiñ āñkheñ
ab āñkhoñ se aañsū bahānā paḌegā
teri yaad aai to kahti hain aankhen
ab aankhon se aansu bahana paDega
chhat pe aa.ī ho aaj barsoñ ba.ad
dekh kar chāñd Dar na jaa.e kahīñ
chhat pe aai ho aaj barson baad
dekh kar chand Dar na jae kahin
tere jaane ke baad dekh zarā
kitnā barbād ho gayā huuñ maiñ
tere jaane ke baad dekh zara
kitna barbaad ho gaya hun main
ghar se maiñ niklā vuzū kar ke ibādat ke liye
us kī khiḌkī khul ga.ī aur phir ishāra ho gayā
ghar se main nikla wuzu kar ke ibaadat ke liye
us ki khiDki khul gai aur phir ishaara ho gaya
apne bistar pe dam na toḌ deñ ham
terī bātoñ ko yaad kar kar ke
apne bistar pe dam na toD den hum
teri baaton ko yaad kar kar ke
apnī is paak nigāhoñ se hameñ dekho to
ham kahīñ aur nahīñ dil meñ tire rahte haiñ
apni is pak nigahon se hamein dekho to
hum kahin aur nahin dil mein tere rahte hain
roz takte haiñ ek duuje ko
haañ magar baat ham nahīñ karte
roz takte hain ek duje ko
han magar baat hum nahin karte
itnī jaldī nahīñ bichhaḌnā thā
jitnī jaldī bichhaḌ ga.ī ho tum
itni jaldi nahin bichhaDna tha
jitni jaldi bichhaD gai ho tum
zamāna jitnā bahkā.e tumhāre saath rahnā hai
tumheñ ab kuchh bhī ho jaa.e tumhāre saath rahnā hai
zamana jitna bahkae tumhaare sath rahna hai
tumhein ab kuchh bhi ho jae tumhaare sath rahna hai
ye zamāna hai jaan lo sāhib
har qadam par tumheñ daġhā degā
ye zamana hai jaan lo sahib
har qadam par tumhein dagha dega
terā chehra to dekh rakkhā hai
had hai terī jabīñ nahīñ dekhī
tera chehra to dekh rakkha hai
had hai teri jabin nahin dekhi
haar jaatā huuñ un kī bātoñ se
jin kī bātoñ se jiit jaatā thā
haar jata hun un ki baaton se
jin ki baaton se jit jata tha
koī bhī rū-barū nahīñ rahā ab
merā matlab hai tū nahīñ rahā ab
koi bhi ru-baru nahin raha ab
mera matlab hai tu nahin raha ab
tāziyāna hai merā shāna hai
zaḳhm khānā hai muskurānā hai
taziyana hai mera shana hai
zaKHm khana hai muskurana hai
jab se tumhāre diid kī chāhat nikal ga.ī
dil hai kahīñ dimāġh kahīñ aur nazar kahīñ
jab se tumhaare did ki chahat nikal gai
dil hai kahin dimagh kahin aur nazar kahin
us ne kaisā ye kaam kar Daalā
merā jiinā harām kar Daalā
us ne kaisa ye kaam kar Dala
mera jina haram kar Dala
kab kahāñ kaun palaT jaa.e tumheñ kyā hai ḳhabar
is se behtar hai ki tum apnā hī rasta dekho
kab kahan kaun palaT jae tumhein kya hai KHabar
is se behtar hai ki tum apna hi rasta dekho
jab tirā zikr hone lagtā hai
dil mirā dil meñ rone lagtā hai
jab tera zikr hone lagta hai
dil mera dil mein rone lagta hai
kyoñ mirā intizār karte ho
kis liye mujh se pyaar karte ho
kyon mera intizar karte ho
kis liye mujh se pyar karte ho
hai mohabbat isī liye to abhī
tujh se Dhāras lagā.e baiThe haiñ
hai mohabbat isi liye to abhi
tujh se Dhaaras lagae baiThe hain