Hasan Abidi
Ghazal 11
Nazm 3
Sher-o-Shayari 9
dil kī dahlīz pe jab shaam kā saaya utrā
ufuq-e-dard se siine meñ ujālā utrā
dil ki dahliz pe jab sham ka saya utra
ufuq-e-dard se sine mein ujala utra
-
Share this
- See Ghazal
kuchh na kuchh to hotā hai ik tire na hone se
varna aisī bātoñ par kaun haath maltā hai
kuchh na kuchh to hota hai ek tere na hone se
warna aisi baaton par kaun hath malta hai
-
Share this
- See Ghazal
ashkoñ meñ piro ke us kī yādeñ
paanī pe kitāb likh rahā huuñ
ashkon mein piro ke us ki yaaden
pani pe kitab likh raha hun
-
Share this
- See Ghazal
sab ummīdeñ mire āshob-e-tamannā tak thiiñ
bastiyāñ ho ga.iiñ ġharqāb to dariyā utrā
sab ummiden mere aashob-e-tamanna tak thin
bastiyan ho gain gharqab to dariya utra
-
Share this
- See Ghazal
shahr-e-nā-pursāñ meñ kuchh apnā pata miltā nahīñ
bām-o-dar raushan haiñ lekin rāsta miltā nahīñ
shahr-e-na-pursan mein kuchh apna pata milta nahin
baam-o-dar raushan hain lekin rasta milta nahin
-
Share this
- See Ghazal