Sher of Hasan Shahnawaz Zaidi
rahnā pal pal dhyān meñ
milnā iid ke iid meñ
rahna pal pal dhyan mein
milna id ke id mein
ye sūkhe patte nahīñ zamāne pe tabsire haiñ
shajar ne likh kar bikher dī haiñ fazā meñ bāteñ
ye sukhe patte nahin zamane pe tabsire hain
shajar ne likh kar bikher di hain faza mein baaten
vo mire kaase meñ yādeñ chhoḌ kar yuuñ chal diyā
jis tarah alfāz jaate hoñ muānī chhoḌ kar
wo mere kase mein yaaden chhoD kar yun chal diya
jis tarah alfaz jate hon muani chhoD kar
titliyāñ phuul meñ kyā DhūñDhtī rahtī haiñ sadā
kyā kahīñ bād-e-sabā rakh ga.ī paiġhām tirā
titliyan phul mein kya DhunDhti rahti hain sada
kya kahin baad-e-saba rakh gai paigham tera
chehroñ ko pairoñ se kuchal kar aage baḌh jaanā
jiit isī ko kahte haiñ to phir maiñ haar gayā
chehron ko pairon se kuchal kar aage baDh jaana
jit isi ko kahte hain to phir main haar gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
us kī āñkhoñ meñ mohabbat kā gumāñ tak nahīñ aaj
kaun sī aag thī kal jis kā dhuāñ tak nahīñ aaj
us ki aankhon mein mohabbat ka guman tak nahin aaj
kaun si aag thi kal jis ka dhuan tak nahin aaj
sahar hote hī jaise ret bhar jaatī hai sāñsoñ meñ
nasīm-e-hijr tere zā.iqe achchhe nahīñ lagte
sahar hote hi jaise ret bhar jati hai sanson mein
nasim-e-hijr tere zaiqe achchhe nahin lagte
''jo bhī aave hai vo nazdīk hī baiThe hai tire''
shīsha-e-chashm meñ kis kis ko utārā huā hai
jo bhi aawe hai wo nazdik hi baiThe hai tire
shisha-e-chashm mein kis kis ko utara hua hai