Sher of Husain Majrooh
vo qaht-e-muḳhlisī hai ki yāroñ kī bazm se
ġhībat nikāl deñ to faqat ḳhāmushī bache
wo qaht-e-muKHlisi hai ki yaron ki bazm se
ghibat nikal den to faqat KHamushi bache
sadā-e-dard lagātā huuñ us galī meñ jahāñ
shaguft-e-gul bhī samā'at pe baar hotī hai
sada-e-dard lagata hun us gali mein jahan
shaguft-e-gul bhi sama'at pe bar hoti hai
phailā huā hai vaqt kī dahlīz par dhuāñ
us aag kā jo aaj bhī raushan nahīñ huī
phaila hua hai waqt ki dahliz par dhuan
us aag ka jo aaj bhi raushan nahin hui