Sher of Imtiyaz Ahmad Qamar
us ne hāthoñ kī lakīroñ se baġhāvat kī thī
ab jahāñ hogā mirī tarah vo tanhā hogā
us ne hathon ki lakiron se baghawat ki thi
ab jahan hoga meri tarah wo tanha hoga
zabt-e-ġham kā mire andāza bhalā kyā hotā
maiñ agar dasht na hotā bhī to dariyā hotā
zabt-e-gham ka mere andaza bhala kya hota
main agar dasht na hota bhi to dariya hota
yuuñ to qadam qadam pe ḳhudā saiñkaḌoñ mile
banda na mil sakā koī bandoñ ke shahr meñ
yun to qadam qadam pe KHuda sainkaDon mile
banda na mil saka koi bandon ke shahr mein
jab shahr meñ dushman mirā koī bhī nahīñ thā
phir kaun ye ḳhanjar kī zabāñ bol rahā hai
jab shahr mein dushman mera koi bhi nahin tha
phir kaun ye KHanjar ki zaban bol raha hai
majbūr kā shikva kyā majbūr kī aaheñ kyā
ye aap kī duniyā hai bas aap kī chaltī hai
majbur ka shikwa kya majbur ki aahen kya
ye aap ki duniya hai bas aap ki chalti hai
hamāre gaañv se bārish ḳhulūs kī le jā
ki tere shahr kā sab kuchh alaav par hogā
hamare ganw se barish KHulus ki le ja
ki tere shahr ka sab kuchh alaw par hoga
koshisheñ ik hameñ miTāne kī
rasm sī ban ga.ī zamāne kī
koshishen ek hamein miTane ki
rasm si ban gai zamane ki
ġham-gusārī pyaar hamdardī vafā
ye dukāneñ shahr ke bāhar lagā
gham-gusari pyar hamdardi wafa
ye dukanen shahr ke bahar laga
phir koī ḳhanjar chalā.e phir koī khīñche kamāñ
rafta rafta dil kā har ik zaḳhm bhartā jaa.e hai
phir koi KHanjar chalae phir koi khinche kaman
rafta rafta dil ka har ek zaKHm bharta jae hai
us 'qamar' ko hai ḳhud ab apne hī chehre kī talāsh
jis ko duniyā ne kahā aaj kā gyānī hai yahī
us 'qamar' ko hai KHud ab apne hi chehre ki talash
jis ko duniya ne kaha aaj ka gyani hai yahi
ham ne ḳhud bhar diyā paimāne meñ apnā hī lahū
jab bhī maiḳhāne kī tauqīr pe aañch aa.ī hai
hum ne KHud bhar diya paimane mein apna hi lahu
jab bhi maiKHane ki tauqir pe aanch aai hai
barg-e-āvāra ko ab apnā pata yaad nahīñ
kyā huā tez havāoñ kī pazīrā.ī meñ
barg-e-awara ko ab apna pata yaad nahin
kya hua tez hawaon ki pazirai mein
ruḳhsat-e-chashm-e-tamāsha kā hai mātam varna
ik ḳhalish pahlū meñ rahtī thī jahāñ aaj bhī hai
ruKHsat-e-chashm-e-tamasha ka hai matam warna
ek KHalish pahlu mein rahti thi jahan aaj bhi hai
jal-bujhī hogī koī aag kisī din us meñ
be-sabab hī to nahīñ daaġh 'qamar' meñ aayā
jal-bujhi hogi koi aag kisi din us mein
be-sabab hi to nahin dagh 'qamar' mein aaya
duur ham kar na sake kor-nigāhī apnī
vo thā pahle bhī qarīb-e-rag-e-jāñ aaj bhī hai
dur hum kar na sake kor-nigahi apni
wo tha pahle bhi qarib-e-rag-e-jaan aaj bhi hai
jab Duub ga.ī kashtī ye raaz khulā ham par
dariyā ke talātum meñ rū-posh kināre the
jab Dub gai kashti ye raaz khula hum par
dariya ke talatum mein ru-posh kinare the
ek shīshe ke muqābil the hazāroñ patthar
TuuT kar mere bikharne kī kahānī hai yahī
ek shishe ke muqabil the hazaron patthar
TuT kar mere bikharne ki kahani hai yahi
maiñ hī kyā sach boltā thā shahr meñ
kyoñ mujhe hī aa ke ye patthar lagā
main hi kya sach bolta tha shahr mein
kyon mujhe hi aa ke ye patthar laga
mire hī hisse meñ azmat salīb-o-dār kī thī
mujhe hī ahd kā apne rasūl honā thā
mere hi hisse mein azmat salib-o-dar ki thi
mujhe hi ahd ka apne rasul hona tha
saare māhaul kī rag rag meñ nasha dauḌ gayā
mai kī barsāt hai yā aap kī añgḌā.ī hai
sare mahaul ki rag rag mein nasha dauD gaya
mai ki barsat hai ya aap ki angDai hai