Sher of Irfan Khan
zindagī ne ajab savāl kiye
rā.egāñ saarī parchiyāñ niklīñ
zindagi ne ajab sawal kiye
raegan sari parchiyan niklin
kabhī mauqe pe kaam aayā karegī
kisī ke saath rakhiye dushmanī bhī
kabhi mauqe pe kaam aaya karegi
kisi ke sath rakhiye dushmani bhi
ham ko darkār ik tabīb kī hai
aap aa.eñ to ham bhī achchhe hoñ
hum ko darkar ek tabib ki hai
aap aaen to hum bhi achchhe hon
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kaam āsān kar diyā jaa.e
ishq meñ vāpsī ke rāste hoñ
kaam aasan kar diya jae
ishq mein wapsi ke raste hon
kaam āsān kar diyā jaa.e
ishq meñ vāpsī ke rāste hoñ
kaam aasan kar diya jae
ishq mein wapsi ke raste hon
ham ko darkār ik tabīb kī hai
aap aa.eñ to ham bhī achchhe hoñ
hum ko darkar ek tabib ki hai
aap aaen to hum bhi achchhe hon
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
un ko bhī apnī jhurriyāñ dikh jaa.eñ
ā.inoñ ke bhī apne chehre hoñ
un ko bhi apni jhurriyan dikh jaen
aainon ke bhi apne chehre hon
un ko bhī apnī jhurriyāñ dikh jaa.eñ
ā.inoñ ke bhī apne chehre hoñ
un ko bhi apni jhurriyan dikh jaen
aainon ke bhi apne chehre hon