Sher of Ishaq Virdag
kisī kī yaad manāne meñ iid guzregī
so shahr-e-dil meñ bahut duur tak udāsī hai
kisi ki yaad manane mein id guzregi
so shahr-e-dil mein bahut dur tak udasi hai
bāzār haiñ ḳhāmosh to galiyoñ pe hai sakta
ab shahr meñ tanhā.ī kā Dar bol rahā hai
bazar hain KHamosh to galiyon pe hai sakta
ab shahr mein tanhai ka Dar bol raha hai
aisī taraqqī par to ronā bantā hai
jis meñ dahshat-gard corona bantā hai
aisi taraqqi par to rona banta hai
jis mein dahshat-gard corona banta hai
ḳhairāt meñ de aayā huuñ jiitī huī baazī
duniyā ye samajhtī hai ki maiñ haar gayā huuñ
KHairaat mein de aaya hun jiti hui bazi
duniya ye samajhti hai ki main haar gaya hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
asātiza ne mirā haath thaam rakkhā hai
isī liye to maiñ pahuñchā huuñ apnī manzil par
asatiza ne mera hath tham rakkha hai
isi liye to main pahuncha hun apni manzil par