Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jagdish Sahay Saxena's Photo'

Jagdish Sahay Saxena

Shahjahanpur, India

Sher of Jagdish Sahay Saxena

huī thī ik ḳhatā sarzad so us ko muddateñ guzrīñ

magar ab tak mire dil se pashemānī nahīñ jaatī

hui thi ek KHata sarzad so us ko muddaten guzrin

magar ab tak mere dil se pashemani nahin jati

hai ye taqdīr ḳhūbī ki nigāh-e-mushtāq

pardā ban jaa.e agar parda-nashīñ tak pahuñche

hai ye taqdir ki KHubi ki nigah-e-mushtaq

parda ban jae agar parda-nashin tak pahunche

ulfat thiiñ dalīl tirī bad-gumāniyāñ

ab bad-gumān maiñ huuñ ki bad-gumāñ nahīñ

ulfat ki thin dalil teri bad-gumaniyan

ab bad-guman main hun ki tu bad-guman nahin

hujūm-e-rañj-o-ġham ne is qadar mujh ko rulāyā hai

ki ab rāhat sūrat mujh se pahchānī nahīñ jaatī

hujum-e-ranj-o-gham ne is qadar mujh ko rulaya hai

ki ab rahat ki surat mujh se pahchani nahin jati

rañj o alam lutf uThāne ke vāste

rāhat se bhī nibāh kiye rahā huuñ maiñ

ranj o alam ka lutf uThane ke waste

rahat se bhi nibah kiye ja raha hun main

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now