Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Jameel Usman

Jameel Usman

Ghazal 5

 

Nazm 2

 

Sher-o-Shayari 5

badlegī kā.enāt mirī baat maan lo

mujh se milāo haat mirī baat maan lo

badlegi kaenat meri baat man lo

mujh se milao hat meri baat man lo

hai zindagī baġhair tumhāre ik iztirāb

de do ise sabāt mirī baat maan lo

hai zindagi baghair tumhaare ek iztirab

de do ise sabaat meri baat man lo

ham rāz-e-dil chhupāte magar apnī zindagī

puurī khulī kitāb agar ho to kyā kareñ

hum raaz-e-dil chhupate magar apni zindagi

puri khuli kitab agar ho to kya karen

kis ne kahā hai tum se ki tā-umr saath do

hai chaar din baat mirī baat maan lo

kis ne kaha hai tum se ki ta-umr sath do

hai chaar din ki baat meri baat man lo

so jā.iye huzūr ki ab raat ho ga.ī

jo baat hone vaalī thī vo baat ho ga.ī

so jaiye huzur ki ab raat ho gai

jo baat hone wali thi wo baat ho gai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now