Sher of Javed Akram Farooqi
lamha lamha roz sañvarne vaalā tū
lamha lamha lamha roz bikharne vaalā maiñ
lamha lamha roz sanwarne wala tu
lamha lamha lamha roz bikharne wala main
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai ḳhāk-e-vatan ab to vafāoñ kā silā de
maiñ TūTtī sāñsoñ kī fasīloñ pe khaḌā huuñ
ai KHak-e-watan ab to wafaon ka sila de
main TuTti sanson ki fasilon pe khaDa hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
muskurāne kī sazā miltī rahī
muskurāne kī ḳhatā karte rahe
muskurane ki saza milti rahi
muskurane ki KHata karte rahe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kitnā mushkil huā javāb mujhe
kitnā āsān thā savāl us kā
kitna mushkil hua jawab mujhe
kitna aasan tha sawal us ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ hāthoñ meñ ḳhanjar le kar soch rahā huuñ
lauTūñgā to merā bhī ghar zaḳhmī hogā
main hathon mein KHanjar le kar soch raha hun
lauTunga to mera bhi ghar zaKHmi hoga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
safar meñ tum hamāre saath rahnā
kahīñ ham rāstoñ meñ kho na jaa.eñ
safar mein tum hamare sath rahna
kahin hum raston mein kho na jaen
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download