Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Javed Vashisht's Photo'

Javed Vashisht

1920 - 1994 | Delhi, India

Javed Vashisht

Ghazal 12

Sher-o-Shayari 9

kāñToñ pe chale haiñ to kahīñ phuul khile haiñ

phūloñ se mile haiñ to baḌī choT lagī hai

kanTon pe chale hain to kahin phul khile hain

phulon se mile hain to baDi choT lagi hai

ġham se ehsās ā.īna jilā paatā hai

aur ġham sīkhe hai aa kar ye salīqa mujh se

gham se ehsas ka aaina jila pata hai

aur gham sikhe hai aa kar ye saliqa mujh se

ye to vaqt vaqt baat hai hameñ un se koī gila nahīñ

vo hoñ aaj ham se ḳhafā ḳhafā kabhū ham se un ko bhī pyaar thā

ye to waqt waqt ki baat hai hamein un se koi gila nahin

wo hon aaj hum se KHafa KHafa kabhu hum se un ko bhi pyar tha

dard aañch banā detī hai dil ko iksīr

dard se dil hai agar dard nahīñ dil bhī nahīñ

dard ki aanch bana deti hai dil ko iksir

dard se dil hai agar dard nahin dil bhi nahin

aaj apne bhī parā.e se nazar aate haiñ

pyaar rasm zamāne se uThī jaatī hai

aaj apne bhi parae se nazar aate hain

pyar ki rasm zamane se uThi jati hai

BOOKS 25

More Poets From "Delhi"

Recitation

Speak Now