Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Karamat Ali Shaheedi's Photo'

Karamat Ali Shaheedi

- 1840

Prominent classical poet reflecting poetic tradition of Lucknow.

Prominent classical poet reflecting poetic tradition of Lucknow.

Sher of Karamat Ali Shaheedi

siikh le ham se koī zabt-e-junūñ ke andāz

barsoñ pāband rahe par na hilā.ī zanjīr

sikh le hum se koi zabt-e-junun ke andaz

barson paband rahe par na hilai zanjir

chāhegā jis ko use chāhā na kareñge

ham ishq o havas ko kabhī yakjā na kareñge

ji chahega jis ko use chaha na karenge

hum ishq o hawas ko kabhi yakja na karenge

ayyām musībat ke to kaaTe nahīñ kaTte

din aish ke ghaḌiyoñ meñ guzar jaate haiñ kaise

ayyam musibat ke to kaTe nahin kaTte

din aish ke ghaDiyon mein guzar jate hain kaise

Recitation

Speak Now