Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Kausar Jayasi's Photo'

Kausar Jayasi

1916 - 2005 | Kanpur, India

Kausar Jayasi

Ghazal 11

Sher-o-Shayari 10

kabhī kabhī safar-e-zindagī se ruuTh ke ham

tire ḳhayāl ke saa.e meñ baiTh jaate haiñ

kabhi kabhi safar-e-zindagi se ruTh ke hum

tere KHayal ke sae mein baiTh jate hain

ġham nairañg dikhātā hai hastī jalva-numā.ī

kitne zamānoñ hāsil hai ik lamha tanhā.ī

gham nairang dikhata hai hasti ki jalwa-numai ka

kitne zamanon ka hasil hai ek lamha tanhai ka

ye aarzū ke sitāre ye intizār ke phuul

chamak rahī haiñ ḳhatā.eñ mahak rahe haiñ gunāh

ye aarzu ke sitare ye intizar ke phul

chamak rahi hain KHataen mahak rahe hain gunah

apne ġham fikr na is duniyā ġham-ḳhvārī meñ

barsoñ ham ne dast-e-junūñ se kaam liyā dānā.ī

apne gham ki fikr na ki is duniya ki gham-KHwari mein

barson hum ne dast-e-junun se kaam liya danai ka

taḳhlīq ke parde meñ sitam TuuT rahe haiñ

aazar ke hāthoñ se sanam TuuT rahe haiñ

taKHliq ke parde mein sitam TuT rahe hain

aazar hi ke hathon se sanam TuT rahe hain

BOOKS 2

 

More Poets From "Kanpur"

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now