Sher of Kausar Siwani
maiñ to qābil na thā un ke dīdār ke
un kī chaukhaT pe merī ḳhatā le ga.ī
main to qabil na tha un ke didar ke
un ki chaukhaT pe meri KHata le gai
zindagī kuchh to bharam rakh le vafādārī kā
tujh ko mar mar ke shab-o-roz sañvārā hai bahut
zindagi kuchh to bharam rakh le wafadari ka
tujh ko mar mar ke shab-o-roz sanwara hai bahut
jo toḌ doge mujhe tum bhī TuuT jāoge
ki irtibāt-e-salāsil kī ik kaḌī huuñ maiñ
jo toD doge mujhe tum bhi TuT jaoge
ki irtibaat-e-salasil ki ek kaDi hun main
hameñ jo fikr kī dāvat na de sake 'kausar'
vo sher sher to hai rūh-e-shā.erī to nahīñ
hamein jo fikr ki dawat na de sake 'kausar'
wo sher sher to hai ruh-e-shaeri to nahin
kyā dil kī pyaas thī ki bujhā.ī na jā sakī
bādal nichoḌ ke na samundar tarāsh ke
kya dil ki pyas thi ki bujhai na ja saki
baadal nichoD ke na samundar tarash ke
samundar kī tarah vus.at ho jis meñ
vo qatra bahr hai qatra nahīñ hai
samundar ki tarah wusat ho jis mein
wo qatra bahr hai qatra nahin hai
harīfoñ kī taraf-dārī se apnā-pan kā dam TuuTā
baḌhī kuchh aur jab duurī to qurbat kā bharam TuuTā
harifon ki taraf-dari se apna-pan ka dam TuTa
baDhi kuchh aur jab duri to qurbat ka bharam TuTa
tanūr-e-vaqt kī hiddat se Dar ga.e ham bhī
magar tapish meñ tape to nikhar ga.e ham bhī
tanur-e-waqt ki hiddat se Dar gae hum bhi
magar tapish mein tape to nikhar gae hum bhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download