Khalid Ahmad
Ghazal 32
Nazm 1
Sher-o-Shayari 5
tark-e-ta.alluqāt pe royā na tū na maiñ
lekin ye kyā ki chain se soyā na tū na maiñ
tark-e-talluqat pe roya na tu na main
lekin ye kya ki chain se soya na tu na main
-
Share this
- See Ghazal
qumqumoñ kī tarah qahqahe jal bujhe
mez par chaa.e kī pyāliyāñ rah ga.iiñ
qumqumon ki tarah qahqahe jal bujhe
mez par chae ki pyaliyan rah gain
-
Share this
- See Ghazal
qumqumoñ kī tarah qahqahe jal bujhe
mez par chaa.e kī pyāliyāñ rah ga.iiñ
qumqumon ki tarah qahqahe jal bujhe
mez par chae ki pyaliyan rah gain
-
Share this
- See Ghazal
phuul se baas judā fikr se ehsās judā
fard se TuuT ga.e fard qabīle na rahe
phul se bas juda fikr se ehsas juda
fard se TuT gae fard qabile na rahe
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 14
Image Shayari 3
apne dil kaa haal na kahnaa kaisaa lagtaa hai tum ko apnaa chup chup rahnaa kaisaa lagtaa hai dukh kii buu.nde.n kyaa tum ko bhii khaatii rahtii hai.n aahista aahista Dhahnaa kaisaa lagtaa hai dard bharii raate.n jis dam halkore detii hai.n dariyaa.o.n ke ruKH par bahnaa kaisaa lagtaa hai mai.n to apnii dhun me.n chakraayaa saa phirtaa huu.n tum ko apnii mauj me.n rahnaa kaisaa lagtaa hai kyaa tum bhii saahil kii suurat kaTte rahte ho pal pal Gam kii lahre.n sahnaa kaisaa lagtaa hai kyaa shaame.n tum ko bhii shab bhar be-kal rakhtii hai.n tum suuraj ho tum ko lahnaa kaisaa lagtaa hai kyaa tum bhii galiyo.n me.n ghar kii vus.at paate ho tum ko ghar se baahar rahnaa kaisaa lagtaa hai kam-aaha.ng suro.n me.n tum kyaa gaate rahte ho kuchh bhii na sun.naa kuchh bhii na kahnaa kaisaa lagtaa hai dard to saa.nso.n me.n baste hai.n kaun dikhaa.e tumhe.n phuulo.n par KHushbuu kaa gahna kaisaa lagtaa hai