Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Khalid Hasan Qadiri's Photo'

Khalid Hasan Qadiri

1927 - 2012 | London, United Kingdom

A great scholar of poetry and prose in Urdu and Persian. Retired university lecturer

A great scholar of poetry and prose in Urdu and Persian. Retired university lecturer

Sher of Khalid Hasan Qadiri

245
Favorite

SORT BY

bahut haiñ sajda-gāheñ par dar-e-jānāñ nahīñ miltā

hazāroñ devtā haiñ har taraf insāñ nahīñ miltā

bahut hain sajda-gahen par dar-e-jaanan nahin milta

hazaron dewta hain har taraf insan nahin milta

na aa.e tum na aao tum ki ab aane se kyā hāsil

ḳhud ab to ham se apnī shakl pahchānī nahīñ jaatī

na aae tum na aao tum ki ab aane se kya hasil

KHud ab to hum se apni shakl pahchani nahin jati

mirī jaañ terī ḳhātir jaañ saudā

bahut mahñgā bhī hai dushvār bhī hai

meri jaan teri KHatir jaan ka sauda

bahut mahnga bhi hai dushwar bhi hai

ghuTan to dil rahī qasr-e-marmarīñ meñ bhī

na raushnī se huā kuchh na kuchh havā se huā

ghuTan to dil ki rahi qasr-e-marmarin mein bhi

na raushni se hua kuchh na kuchh hawa se hua

tumhāre naam pe dil ab bhī ruk jaatā hai

ye baat vo hai ki is se mafar nahīñ hotā

tumhaare nam pe dil ab bhi ruk sa jata hai

ye baat wo hai ki is se mafar nahin hota

kis se pūchheñ ki ham kidhar jaa.eñ

yaad ab ham ko vo galī nahīñ

kis se puchhen ki hum kidhar jaen

yaad ab hum ko wo gali hi nahin

ye vaqfa sā.atoñ chand sadiyoñ ke barābar hai

vo ab āvāz dete haiñ to pahchānī nahīñ jaatī

ye waqfa saaton ka chand sadiyon ke barabar hai

wo ab aawaz dete hain to pahchani nahin jati

vo kahāñ aur harf-e-talḳh kahāñ

tum ne hogī ishti.āl baat

wo kahan aur harf-e-talKH kahan

tum ne ki hogi ishtial ki baat

aadmī haiñ chand-din meñ mar raheñge dekhnā

ham hazāroñ saal duniyā meñ raheñ patthar nahīñ

aadmi hain chand-din mein mar rahenge dekhna

hum hazaron sal duniya mein rahen patthar nahin

hijr baat visāl baat

dil ne phir tire malāl

hijr ki baat ya visal ki baat

dil ne phir ki tere malal ki

sadā-e-shahr fusūñ hai nazar na dar se haTā

vo misl-e-sañg huā jis ne lauT kar dekhā

sada-e-shahr fusun hai nazar na dar se haTa

wo misl-e-sang hua jis ne lauT kar dekha

me.arāj-e-kamāl-e-qudūsī, āġhāz-e-shu.ūr-e-insāñ hai

kyā koī haqīqat-e-tajrīdī, alfāz meñ bhī mahsūr huii?

mearaj-e-kamal-e-qudusi, aaghaz-e-shuur-e-insan hai

kya koi haqiqat-e-tajridi, alfaz mein bhi mahsur hui?

mar miTe ahl-e-hāl lab na khule

harf-e-mansūr sirf qaal baat

mar miTe ahl-e-haal lab na khule

harf-e-mansur sirf qal ki baat

mushkil inkār husn ko ho magar

saḳht hai ishq par savāl baat

mushkil inkar husn ko ho magar

saKHt hai ishq par sawal ki baat

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now