Sher of Khusrau Kakorvi
sab se pahle ek va.adā kījiye
dil ke taḌpāne se taubā kījiye
sab se pahle ek wada kijiye
dil ke taDpane se tauba kijiye
uñgliyāñ uThne lagī haiñ bazm meñ
yuuñ mirī jānib na dekhā kījiye
ungliyan uThne lagi hain bazm mein
yun meri jaanib na dekha kijiye
pūchh lenā thā miloge yā nahīñ
zindagī ab apnī thoḌī rah ga.ī
puchh lena tha miloge ya nahin
zindagi ab apni thoDi rah gai
ThanDī havā hai aur ghaTā hai ghirī huī
saaqī tirā bhalā ho bujhā de lagī huī
ThanDi hawa hai aur ghaTa hai ghiri hui
saqi tera bhala ho bujha de lagi hui
mujh ko saudā.ī kiyā rusvā kiyā
zulf phir uljhī kī uljhī rah ga.ī
mujh ko saudai kiya ruswa kiya
zulf phir uljhi ki uljhi rah gai
zindagī pur-kaif bantī hai yūñhī
kījiye ḳhūn-e-tamannā kījiye
zindagi pur-kaif banti hai yunhi
kijiye KHun-e-tamanna kijiye