Sher of Khwaja Aminuddin Ameen
sub.h gar sub.h-e-qayāmat ho to kuchh parvā nahīñ
hijr kī jab raat aisī be-qarārī meñ kaTī
subh gar subh-e-qayamat ho to kuchh parwa nahin
hijr ki jab raat aisi be-qarari mein kaTi
maiñ dar-guzrā sāhib-salāmat se bhī
ḳhudā ke liye itnā barham na ho
main dar-guzra sahib-salamat se bhi
KHuda ke liye itna barham na ho
gāliyāñ ġhair se sunāte ho
haañ miyāñ aur tum se kyā hogā
galiyan ghair se sunate ho
han miyan aur tum se kya hoga