Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Kumar Vishwas's Photo'

Kumar Vishwas

1970 | Delhi, India

Kumar Vishwas

Ghazal 14

Sher-o-Shayari 10

koī dīvāna kahtā hai koī pāgal samajhtā hai

magar dhartī bechainī ko bas bādal samajhtā hai

koi diwana kahta hai koi pagal samajhta hai

magar dharti ki bechaini ko bas baadal samajhta hai

  • Share this

usī tarah mujhe saarā zamānā chāhe

vo mirā hone se zyāda mujhe paanā chāhe

usi ki tarah mujhe sara zamana chahe

wo mera hone se zyaada mujhe pana chahe

dil ke tamām zaḳhm tirī haañ se bhar ga.e

jitne kaThin the rāste vo sab guzar ga.e

dil ke tamam zaKHm teri han se bhar gae

jitne kaThin the raste wo sab guzar gae

  • Share this

mirā ḳhayāl tirī chuppi.on ko aatā hai

tirā ḳhayāl mirī hichkiyoñ ko aatā hai

mera KHayal teri chuppion ko aata hai

tera KHayal meri hichkiyon ko aata hai

  • Share this

jab se milā hai saath mujhe aap huzūr

sab ḳhvāb zindagī ke hamāre sañvar ga.e

jab se mila hai sath mujhe aap ka huzur

sab KHwab zindagi ke hamare sanwar gae

  • Share this

RELATED Poets

More Poets From "Delhi"

Recitation

Speak Now