Sher of Lais Quraishi
talḳhāba-e-hayāt piyā hai tamām umar
ab aur kyā milā.egā saaqī sharāb meñ
talKHaba-e-hayat piya hai tamam umar
ab aur kya milaega saqi sharab mein
mirī samajh meñ na aayā ye kārobār-e-hayāt
kahāñ hai nafā kahāñ hai zarar nahīñ ma.alūm
meri samajh mein na aaya ye karobar-e-hayat
kahan hai nafa kahan hai zarar nahin malum
yahī bahut hai ki zinda haiñ qaid-e-zīst meñ ham
ye kaisī shaam hai kaisī sahar nahīñ ma.alūm
yahi bahut hai ki zinda hain qaid-e-zist mein hum
ye kaisi sham hai kaisi sahar nahin malum