Sher of Lala Kanji Mal Saba
'sabā' ham ne to hargiz kuchh na dekhā jazb-e-ulfat meñ
ġhalat ye baat kahte haiñ ki dil ko raah hai dil se
'saba' hum ne to hargiz kuchh na dekha jazb-e-ulfat mein
ghalat ye baat kahte hain ki dil ko rah hai dil se
nāseh nasīhateñ ye kahāñ yaad rahtī haiñ
hazrat abhī kisī se tabī.at lagī nahīñ
naseh nasihaten ye kahan yaad rahti hain
hazrat abhi kisi se tabiat lagi nahin
bhaTkā phire hai majnūñ lailā ke qāfile meñ
ye pūchhtā ki yaaro mahmil kidhar gayā hai
bhaTka phire hai majnun laila ke qafile mein
ye puchhta ki yaro mahmil kidhar gaya hai
nahīñ ma.alūm ai yaaro 'sabā' ke dil meñ kyā aayā
abhī jo baiThe baiThe vo yakāyak aah kar uTThā
nahin malum ai yaro 'saba' ke dil mein kya aaya
abhi jo baiThe baiThe wo yakayak aah kar uTTha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā tū ne kuchh 'sabā' se ai tund-ḳhū kahā hai
rotā huā idhar se bā-chashm-e-tar gayā hai
kya tu ne kuchh 'saba' se ai tund-KHu kaha hai
rota hua idhar se ba-chashm-e-tar gaya hai