Sher of Latif Shah Shahid
gardish-e-ayyām se chaltī hai nabz-e-kā.enāt
vaqt kā pahiya rukā to zindagī ruk jā.egī
gardish-e-ayyam se chalti hai nabz-e-kaenat
waqt ka pahiya ruka to zindagi ruk jaegi
ḳhud apne aap se rahtā hai aadmī nārāz
udāsiyoñ ke bhī apne mizāj hote haiñ
KHud apne aap se rahta hai aadmi naraaz
udasiyon ke bhi apne mizaj hote hain
mujh se to koī tāj-mahal bhī na ban sakā
be-nām dil kī qabr meñ dafnā diyā tujhe
mujh se to koi taj-mahal bhi na ban saka
be-nam dil ki qabr mein dafna diya tujhe
taaza havā ḳharīdne aate haiñ gaañv meñ
'shāhid' shahar ke log bhī kaise ajiib haiñ
taza hawa KHaridne aate hain ganw mein
'shahid' shahar ke log bhi kaise ajib hain
ye aur baat ki tū do qadam pe bhuul gayā
hameñ to hashr talak terā intizār rahā
ye aur baat ki tu do qadam pe bhul gaya
hamein to hashr talak tera intizar raha
vo mujh se pyaar kab kartā hai bas miltā milātā hai
kirā.e ke makāñ meñ kab koī paudā lagātā hai
wo mujh se pyar kab karta hai bas milta milata hai
kirae ke makan mein kab koi pauda lagata hai
mirī āñkhoñ meñ kīleñ Thoñk do hoñToñ ko silvā do
basīrat jurm hai merā sadāqat merī aadat hai
meri aankhon mein kilen Thonk do honTon ko silwa do
basirat jurm hai mera sadaqat meri aadat hai
rail kī paTrī fasurda shaam terā suitcase
phir se āñkhoñ meñ tire jaane kā manzar aa gayā
rail ki paTri fasurda sham tera suitcase
phir se aankhon mein tere jaane ka manzar aa gaya
ġham ko ehsās kī miTTī meñ ḳhudā ne gūñdhā
aur kuchh ashk milā.e to phir insān kiyā
gham ko ehsas ki miTTi mein KHuda ne gundha
aur kuchh ashk milae to phir insan kiya
mujhe ḳhāmoshiyāñ paḌhne kā fan aatā to paḌh letā
tumhārī jhiil sī ḳhāmosh āñkhoñ kī pashemānī
mujhe KHamoshiyan paDhne ka fan aata to paDh leta
tumhaari jhil si KHamosh aankhon ki pashemani
dūsroñ kī baat aa.ī to payambar thā vo shaḳhs
apnī baarī par mohabbat se hī murtad ho gayā
dusron ki baat aai to payambar tha wo shaKHs
apni bari par mohabbat se hi murtad ho gaya
paḌhtā hai baḌe shauq se vo merī kitābeñ
jis baat se Dartā huuñ vahī baat na paḌh le
paDhta hai baDe shauq se wo meri kitaben
jis baat se Darta hun wahi baat na paDh le
mohabbat ruup meñ Dhaltī to vo ik devtā hotā
maiñ us ko pūjne lagtā agar vo bā-vafā hotā
mohabbat rup mein Dhalti to wo ek dewta hota
main us ko pujne lagta agar wo ba-wafa hota
bāñdh ke ahd-e-vafā log chale jaate haiñ
chhoḌ jaate haiñ faqat jism kī uljhī gāñTheñ
bandh ke ahd-e-wafa log chale jate hain
chhoD jate hain faqat jism ki uljhi ganThen
ab ke ummīd-e-vafā bāñdh rahā huuñ jis se
log kahte haiñ ki vo shaḳhs bhī harjā.ī hai
ab ke ummid-e-wafa bandh raha hun jis se
log kahte hain ki wo shaKHs bhi harjai hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jaane haiñ kis hasīn ta'alluq kī yādgār
mujh ko bahut aziiz haiñ merī ye vahshateñ
jaane hain kis hasin ta'alluq ki yaadgar
mujh ko bahut aziz hain meri ye wahshaten
chhiḌkā gayā hai zahr fazāoñ meñ is tarah
maaoñ ne apnī kokh se būḌhe janam diye
chhiDka gaya hai zahr fazaon mein is tarah
maon ne apni kokh se buDhe janam diye
ishtiyāq-e-raqs meñ had se nikalte jā rahe
dā.ere ko khīñch kar auqāt meñ laanā paḌā
ishtiyaq-e-raqs mein had se nikalte ja rahe
daere ko khinch kar auqat mein lana paDa
vo shaḳhs bol rahā thā ḳhudā ke lahje meñ
maiñ sun rahā thā magar maiñ kalīm-e-vaqt na thā
wo shaKHs bol raha tha KHuda ke lahje mein
main sun raha tha magar main kalim-e-waqt na tha
mujh se lipTā hai amarbel ke mānind koī
mujh ko be-barg na kartā to samar detā kyā
mujh se lipTa hai amarbel ke manind koi
mujh ko be-barg na karta to samar deta kya
mire vijdāñ kī girheñ kholtā hai
mirā ham-zād mujh meñ boltā hai
mere wijdan ki girhen kholta hai
mera ham-zad mujh mein bolta hai
takallum ham se kartā hai to yuuñ jaise shahanshah ko
mohabbat kā koī nusḳha qalandar pesh kartā hai
takallum hum se karta hai to yun jaise shahanshah ko
mohabbat ka koi nusKHa qalandar pesh karta hai