Sher of Machis Lakhnavi
aur to kuchh bhī nahīñ hazrat-e-'māchis' lekin
aap meñ aag lagāne kā kamāl achchhā hai
aur to kuchh bhi nahin hazrat-e-'machis' lekin
aap mein aag lagane ka kamal achchha hai
vo un kā zamāna thā jahāñ aql baḌī thī
ye merā zamāna hai yahāñ bhaiñs baḌī hai
wo un ka zamana tha jahan aql baDi thi
ye mera zamana hai yahan bhains baDi hai
vaa.iz ne mujh meñ dekhī hai īmān kī kamī
vaa.iz meñ sirf dum kī kasar dekhtā huuñ maiñ
waiz ne mujh mein dekhi hai iman ki kami
waiz mein sirf dum ki kasar dekhta hun main
jis maulvī ko aage paḌhānā thā merā aqd
Thahrā hai un kā aqd usī maulvī ke saath
jis maulwi ko aage paDhana tha mera aqd
Thahra hai un ka aqd usi maulwi ke sath
DhūñDiye ḳhair se jā kar koī moTī sasurāl
haath jo muft meñ aa.e to vo maal achchhā hai
DhunDiye KHair se ja kar koi moTi sasural
hath jo muft mein aae to wo mal achchha hai
vaa.iz ko jo dekho to ghaTā-Top añdherā
saaqī ko jo dekho to kiran phuuT rahī hai
waiz ko jo dekho to ghaTa-Top andhera
saqi ko jo dekho to kiran phuT rahi hai
hukm begam ke chalā karte haiñ jelar kī tarah
ab mirā ghar bhī mujhe jail huā jaatā hai
hukm begam ke chala karte hain jelar ki tarah
ab mera ghar bhi mujhe jail hua jata hai
ta.adād meñ haiñ aurteñ mardoñ se zyāda
qavvāliyāñ maujūd haiñ qavvāl nadārat
tadad mein hain aurten mardon se zyaada
qawwaliyan maujud hain qawwal nadarat
jaise islām meñ hai rasm musalmānī kī
vaise hī ishq meñ hai chāk-garebānī kī
jaise islam mein hai rasm musalmani ki
waise hi ishq mein hai chaak-garebani ki
jo bhī hāregā vahī gāliyāñ degā us ko
jis barahman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai
jo bhi haarega wahi galiyan dega us ko
jis barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai
is qadar sarf ilāhī mire ḳhūn-e-dil kā
ab mohabbat kā bajaT fail huā jaatā hai
is qadar sarf ilahi mere KHun-e-dil ka
ab mohabbat ka bajaT fail hua jata hai
nazm-e-jahāñ ko zer-o-zabar dekhtā huuñ maiñ
maada ke iḳhtiyār meñ nar dekhtā huuñ maiñ
nazm-e-jahan ko zer-o-zabar dekhta hun main
mada ke iKHtiyar mein nar dekhta hun main
allāh-re ro.ab-o-dāb-e-junūñ bhāgtā hai vo
jis kī taraf uThā ke nazar dekhtā huuñ maiñ
allah-re roab-o-dab-e-junun bhagta hai wo
jis ki taraf uTha ke nazar dekhta hun main
saa.e kī tamannā meñ jahāñ baiTh gayā huuñ
chañdiyā pe vahīñ taak ke dīvār girī hai
sae ki tamanna mein jahan baiTh gaya hun
chandiya pe wahin tak ke diwar giri hai
mire par us ko sau durre na kahiye phir to kyā kahiye
tire āshiq kī mayyat doctor-ḳhāne meñ rakkhī hai
mere par us ko sau durre na kahiye phir to kya kahiye
tere aashiq ki mayyat doctor-KHane mein rakkhi hai