Sher of Mael Lakhnavi
nigāh-e-nāz kī pahlī sī barhamī bhī ga.ī
maiñ dostī ko hī rotā thā dushmanī bhī ga.ī
nigah-e-naz ki pahli si barhami bhi gai
main dosti ko hi rota tha dushmani bhi gai
yaad aur un kī yaad kī allāh-re mahviyat
jaise tamām umr kī fursat ḳharīd lī
yaad aur un ki yaad ki allah-re mahwiyat
jaise tamam umr ki fursat KHarid li
mohabbat aur 'mā.il' jald-bāzī kyā qayāmat hai
sukūn-e-dil banegā iztirāb āhista āhista
mohabbat aur 'mail' jald-bazi kya qayamat hai
sukun-e-dil banega iztirab aahista aahista
nazar aur vus.at-e-nazar ma.alūm
itnī mahdūd kā.enāt nahīñ
nazar aur wusat-e-nazar malum
itni mahdud kaenat nahin
maiñ ne dekhe haiñ dahakte hue phūloñ ke jigar
dil-e-bīnā meñ hai vo nuur tumheñ kyā ma.alūm
main ne dekhe hain dahakte hue phulon ke jigar
dil-e-bina mein hai wo nur tumhein kya malum
da.avā-e-insāniyat 'mā.il' abhī zebā nahīñ
pahle ye socho kisī ke kaam aa saktā huuñ maiñ
dawa-e-insaniyat 'mail' abhi zeba nahin
pahle ye socho kisi ke kaam aa sakta hun main
sailāb-e-ishq ġharq-kun-e-aql-o-hosh thā
ik bahar thā ki shām-o-sahar garam-josh thā
sailab-e-ishq gharq-kun-e-aql-o-hosh tha
ek bahar tha ki sham-o-sahar garam-josh tha