aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
mausam bahār kā hai chaman par bahār hai
bulbul fidā-e-gul hai guloñ par nikhār hai
mausam bahaar ka hai chaman par bahaar hai
bulbul fida-e-gul hai gulon par nikhaar hai
mīlād-e-shah kā din hai ki ye roz-e-īd hai
ik bāda-ḳhvār kā sā sabā meñ ḳhumār hai
milad-e-shah ka din hai ki ye roz-e-id hai
ek baada-KHwar ka sa saba mein KHumar hai
bulbul chahak ke kahtī hai muddat ke ba.ad phir
gulshan meñ aaj āmad-e-fasl-e-bahār hai
bulbul chahak ke kahti hai muddat ke baad phir
gulshan mein aaj aamad-e-fasl-e-bahaar hai
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books