Sher of Mahram Lakhnavi
hayāt-e-ḳhizr de yārab mire tahammul ko
shab-e-firāq agar muḳhtasar nahīñ na sahī
hayat-e-KHizr de yarab mere tahammul ko
shab-e-firaq agar muKHtasar nahin na sahi
na sirf dair-o-haram balki chaḌh ke daar pe bhī
tire pukārne vaale tujhe pukār ga.e
na sirf dair-o-haram balki chaDh ke dar pe bhi
tere pukarne wale tujhe pukar gae
jahāñ pahuñch ke tumheñ bhūlnā munāsib thā
rah-e-hayāt meñ aise bhī kuchh maqām aa.e
jahan pahunch ke tumhein bhulna munasib tha
rah-e-hayat mein aise bhi kuchh maqam aae
shāyad isī kā naam jumūd-e-hayāt hai
ahl-e-hunar ko fursat-e-kasb-e-hunar nahīñ
shayad isi ka nam jumud-e-hayat hai
ahl-e-hunar ko fursat-e-kasb-e-hunar nahin