Sher of Mahwar Sirsivi
ik haath meñ mere chaa.e kā cup ik haath meñ mere haath tirā
hāthoñ ko talab hai hāthoñ kī aur dil ko talab hai saath tirā
ek hath mein mere chae ka cup ek hath mein mere hath tera
hathon ko talab hai hathon ki aur dil ko talab hai sath tera
muskurātā huuñ to rotā hai mirā zaḳhm-e-jigar
rone lagtā huuñ to hoñToñ ko chubhan hotī hai
muskuraata hun to rota hai mera zaKHm-e-jigar
rone lagta hun to honTon ko chubhan hoti hai
apne hāthoñ ko chūmtā hogā
terī zulfeñ sañvārne vaalā
apne hathon ko chumta hoga
teri zulfen sanwarne wala
ulfat to dekhiye mirī dīdār ke sabab
darvesh ban ke yaar kī chaukhaT pe aa gayā
ulfat to dekhiye meri didar ke sabab
darwesh ban ke yar ki chaukhaT pe aa gaya
zavāl ye hai ki ham zindagī se haar ga.e
kamāl ye hai ki ham zindagī guzār ga.e
zawal ye hai ki hum zindagi se haar gae
kamal ye hai ki hum zindagi guzar gae
ek muddat se niiñd taarī hai
ek muddat se so nahīñ paa.e
ek muddat se nind tari hai
ek muddat se so nahin pae
hai muqaddar meñ zuleḳhā se judā.ī shāyad
ḳhvāb meñ misr ke bāzār nazar aate haiñ
hai muqaddar mein zuleKHa se judai shayad
KHwab mein misr ke bazar nazar aate hain
ġhurbat ne chhīn liiñ mere chehre kī raunaqeñ
yuuñ to kisī amiir se kamtar nahīñ huuñ maiñ
ghurbat ne chhin lin mere chehre ki raunaqen
yun to kisi amir se kamtar nahin hun main
yaqīn jāniye tab jā ke pyaar hotā hai
kisī ke zehn pe jab dil savār hotā hai
yaqin jaaniye tab ja ke pyar hota hai
kisi ke zehn pe jab dil sawar hota hai
aap ne eid mubārak to kahā hai lekin
aap ne eid manāne kī ijāzat nahīñ dī
aap ne eid mubarak to kaha hai lekin
aap ne eid manane ki ijazat nahin di
sunā hai tāliyāñ bajtī haiñ us kī aamad par
sunā hai log gharoñ se nikal ke dekhte haiñ
suna hai taliyan bajti hain us ki aamad par
suna hai log gharon se nikal ke dekhte hain
vaqt ke paañv bhī nahīñ mehvar
aur raftār bhī ġhazab kī hai
waqt ke panw bhi nahin mehwar
aur raftar bhi ghazab ki hai
aaj gar bole nahīñ haq baat par
kal sitam hoñge tumhārī zaat par
aaj gar bole nahin haq baat par
kal sitam honge tumhaari zat par
hai muqaddar meñ zuleḳhā se judā.ī shāyad
ḳhvāb meñ misr ke bāzār nazar aate haiñ
hai muqaddar mein zuleKHa se judai shayad
KHwab mein misr ke bazar nazar aate hain
kū-e-jānāñ se apnī sāñsoñ par
dil kī mayyat uThā ke le aa.e
ku-e-jaanan se apni sanson par
dil ki mayyat uTha ke le aae
nafratoñ kā ilaaj karnā hai
kuchh mohabbat atā karo jānāñ
nafraton ka ilaj karna hai
kuchh mohabbat ata karo jaanan
shaiḳh jī masjid meñ jaao mai-kade ko chhoḌ do
chaar din kī chāñdnī hai phir añdherī raat hai
shaiKH ji masjid mein jao mai-kade ko chhoD do
chaar din ki chandni hai phir andheri raat hai
kuchh to ḳhayāl kar mirī umr-e-darāz kā
sadiyāñ guzar ga.ī haiñ tire intizār meñ
kuchh to KHayal kar meri umr-e-daraaz ka
sadiyan guzar gai hain tere intizar mein
tark-e-ta.alluqāt pe raazī nahīñ huuñ maiñ
ya.anī tumhārī baat pe raazī nahīñ huuñ maiñ
tark-e-talluqat pe raazi nahin hun main
yani tumhaari baat pe raazi nahin hun main
is liye ḳhaak se ulfat hai ki ḳhaak honā hai
ye rivāyat nahīñ aayat hai ki ḳhaak honā hai
is liye KHak se ulfat hai ki KHak hona hai
ye riwayat nahin aayat hai ki KHak hona hai