Makhdoom Mohiuddin
Ghazal 18
Nazm 38
Sher-o-Shayari 25
aap kī yaad aatī rahī raat bhar
chashm-e-nam muskurātī rahī raat bhar
aap ki yaad aati rahi raat bhar
chashm-e-nam muskuraati rahi raat bhar
-
Share this
- See Ghazal
ishq ke sho.ale ko bhaḌkāo ki kuchh raat kaTe
dil ke añgāre ko dahkāo ki kuchh raat kaTe
ishq ke shoale ko bhaDkao ki kuchh raat kaTe
dil ke angare ko dahkao ki kuchh raat kaTe
-
Share this
- See Ghazal
bazm se duur vo gaatā rahā tanhā tanhā
so gayā saaz pe sar rakh ke sahar se pahle
bazm se dur wo gata raha tanha tanha
so gaya saz pe sar rakh ke sahar se pahle
-
Share this
- See Ghazal
Qita 5
Qisse 2
BOOKS 37
Image Shayari 4
tum gulistaa.n se ga.e ho to gulistaa.n chup hai shaaKH-e-gul kho.ii hu.ii murG-e-KHush-ilhaa.n chup hai ufuq-e-dil pe dikhaa.ii nahii.n detii hai dhanak Gam-zada mausam-e-gul abr-e-bahaaraa.n chup hai aalam-e-tishnagii-e-baada-gusaaraa.n mat puuchh mai-kada duur hai miinaa-e-zar-e-afshaa.n chup hai aur aage na ba.Dhaa qissa-e-dil qissa-e-Gam dha.Dkane.n chup hai.n sarishk-e-sar-e-mizhgaa.n chup hai shahr me.n ek qayaamat thii qayaamat na rahii hashr KHaamosh hu.aa fitna-e-dauraa.n chup hai na kisii aah kii aavaaz na zanjiir kaa shor aaj kyaa ho gayaa zindaa.n me.n ki zindaa.n chup hai