Sher of Makhfi Lakhnavi
mirā aanā jahāñ meñ munhasir thā tiin bātoñ par
jafā sahnā vafā karnā aur us ke baad mar jaanā
mera aana jahan mein munhasir tha tin baaton par
jafa sahna wafa karna aur us ke baad mar jaana
ishq kī fitrat ne yuuñ badlā mazāq-e-zindagī
jitne ġham baḌhne lage utnī ḳhushī hone lagī
ishq ki fitrat ne yun badla mazaq-e-zindagi
jitne gham baDhne lage utni KHushi hone lagi
ishq kī allāh re fitna-kāriyāñ
pāk-dāman chāk-dāman ho ga.e
ishq ki allah re fitna-kariyan
pak-daman chaak-daman ho gae
jalā āshiyāñ jab se dil mutma.in hai
na bijlī kā ḳhatra na dhaḌkā ḳhizāñ kā
jala aashiyan jab se dil mutmain hai
na bijli ka KHatra na dhaDka KHizan ka
parda hai ik baqā kā rāz-e-fanā na pūchho
mar kar bhī saath ham se chhūTā na zindagī kā
parda hai ek baqa ka raaz-e-fana na puchho
mar kar bhi sath hum se chhuTa na zindagi ka
vo chhupnā tirā parda-e-rang-o-bū meñ
vo har rang meñ merā pahchān jaanā
wo chhupna tera parda-e-rang-o-bu mein
wo har rang mein mera pahchan jaana
bahut justujū kī bahut ḳhaak chhānī
kidhar hai tū ai jalva-e-lā-makānī
bahut justuju ki bahut KHak chhani
kidhar hai tu ai jalwa-e-la-makani
yuuñ manzar-e-hastī pe tirī chhā ga.iiñ āñkheñ
ik kaif sā har chiiz pe barsā ga.iiñ āñkheñ
yun manzar-e-hasti pe teri chha gain aankhen
ek kaif sa har chiz pe barsa gain aankhen
yuuñ be-hijāb haiñ ki haiñ jaise hijāb meñ
us bazm meñ kisī ko majāl-e-nazar kahāñ
yun be-hijab hain ki hain jaise hijab mein
us bazm mein kisi ko majal-e-nazar kahan
vus.at-e-dil are ma.aaz allāh
saarī duniyā samā.ī jaatī hai
wusat-e-dil are maaz allah
sari duniya samai jati hai
ḳhudā ke bharose pe chhoḌī hai kashtī
na girdāb dekhā na tūfān jaanā
KHuda ke bharose pe chhoDi hai kashti
na girdab dekha na tufan jaana
har baat kā ehsās mire dil se miTā de
zinda mujhe rakhnā hai to dīvāna banā de
har baat ka ehsas mere dil se miTa de
zinda mujhe rakhna hai to diwana bana de
bikhrī har-sū paḌī haiñ zanjīreñ
josh-e-rangīnī-e-bahār na pūchh
bikhri har-su paDi hain zanjiren
josh-e-rangini-e-bahaar na puchh
jis ko ibrat dilā.ī jaatī hai
merī sūrat dikhā.ī jaatī hai
jis ko ibrat dilai jati hai
meri surat dikhai jati hai
vafā ibtidā hai vafā intihā hai
ḳhulāsa hai bas ye mirī dāstāñ kā
wafa ibtida hai wafa intiha hai
KHulasa hai bas ye meri dastan ka