aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1993 | Allahabd, India
laḌkā na koī phir se ho barbād dahr meñ
tujh par na jaa.eñ beTiyāñ terī ḳhudā kare
laDka na koi phir se ho barbaad dahr mein
tujh par na jaen beTiyan teri KHuda kare
bevafā.ī kī jab bhī baat chalī
bā-ḳhudā tum bahut hī yaad aa.e
bewafai ki jab bhi baat chali
ba-KHuda tum bahut hi yaad aae
zarūrī to nahīñ ye ki hileñ lab
ye ḳhāmoshī bhī to ik guftugū hai
zaruri to nahin ye ki hilen lab
ye KHamoshi bhi to ek guftugu hai
kyoñ maiñ us husn ko hasīn kahūñ
jis kī zīnat hī be-hayā.ī ho
kyon main us husn ko hasin kahun
jis ki zinat hi be-hayai ho
mirī nigāh ko gar terī diid ho jaa.e
qasam ḳhudā kī mirī iid iid ho jaa.e
meri nigah ko gar teri did ho jae
qasam KHuda ki meri id id ho jae
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books