Sher of Maryam Gazala
jab bhī maiñ ne khol kar dekhī hai yādoñ kī kitāb
yūñhī safhoñ par taḌapte mil ga.e kuchh vāqi.āt
jab bhi main ne khol kar dekhi hai yaadon ki kitab
yunhi safhon par taDapte mil gae kuchh waqiat
ham to samjhe the hameñ pahchāntā koī nahīñ
apnī barbādī to ghar ghar kī kahānī ho ga.ī
hum to samjhe the hamein pahchanta koi nahin
apni barbaadi to ghar ghar ki kahani ho gai
jhiil ke Thahre hue paanī meñ patthar pheñk kar
dā.era uThtī huī lahroñ kā ham dekhā kiye
jhil ke Thahre hue pani mein patthar phenk kar
daera uThti hui lahron ka hum dekha kiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dar-o-dīvār pe parchhā.iyāñ aatī thiiñ nazar
baat karne ko bhī tarsī huuñ sahar hone tak
dar-o-diwar pe parchhaiyan aati thin nazar
baat karne ko bhi tarsi hun sahar hone tak
har qadam ko soch kar rakhiyegā ab
hādisa hai raah meñ chaltā huā
har qadam ko soch kar rakhiyega ab
hadisa hai rah mein chalta hua
kal na jaane shahr meñ kis baat kā jalsa huā
aaj saare shahr kā naqsha hai kuchh badlā huā
kal na jaane shahr mein kis baat ka jalsa hua
aaj sare shahr ka naqsha hai kuchh badla hua