join rekhta family!
Ghazal 57
Sher 26
dostoñ se mulāqāt kī shaam hai
ye sazā kaaT kar apne ghar jā.ūñgā
doston se mulaqat ki sham hai
ye saza kaT kar apne ghar jaunga
-
Share this
- See Ghazal
aap ko mere ta.āruf kī zarūrat kyā hai
maiñ vahī huuñ ki jise aap ne chāhā thā kabhī
aap ko mere taaruf ki zarurat kya hai
main wahi hun ki jise aap ne chaha tha kabhi
-
Share this
- See Ghazal
ek maiñ ne hī ugaa.e nahīñ ḳhvāboñ ke gulāb
tū bhī is jurm meñ shāmil hai mirā saath na chhoḌ
ek main ne hi ugae nahin KHwabon ke gulab
tu bhi is jurm mein shamil hai mera sath na chhoD
-
Share this
- See Ghazal
Khaka 2
BOOKS 917
Image shayari 4
zindagii kaavish-e-baatil hai miraa saath na chho.D tuu hii ik umr kaa haasil hai miraa saath na chho.D log milte hai.n sar-e-raah guzar jaate hai.n tuu hii ik ham-safar-e-dil hai miraa saath na chho.D tuu ne sochaa hai mujhe tuu ne sa.nvaaraa hai mujhe tuu miraa zehn miraa dil hai miraa saath na chho.D tuu na hogaa to kahaa.n jaa ke jaluu.ngaa shab bhar tujh se hii garmi-e-mahfil hai miraa saath na chho.D mai.n ki biphre hu.e tuufaa.n me.n huu.n lahro.n lahro.n tuu ki aasuuda-e-saahil hai miraa saath na chho.D is rifaaqat ko sipar apnii banaa le.n jii le.n shahr kaa shahr hii qaatil hai miraa saath na chho.D ek mai.n ne hii ugaa.e nahii.n KHvaabo.n ke gulaab tuu bhii is jurm me.n shaamil hai miraa saath na chho.D ab kisii raah pe jalte nahii.n chaahat ke charaag tuu mirii aaKHirii manzil hai miraa saath na chho.D