Sher of Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
ḳhudā ke vāste is ko na Toko
yahī ik shahr meñ qātil rahā hai
KHuda ke waste is ko na Toko
yahi ek shahr mein qatil raha hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye hasrat rah ga.ī kyā kyā maze se zindagī karte
agar hotā chaman apnā gul apnā bāġhbāñ apnā
ye hasrat rah gai kya kya maze se zindagi karte
agar hota chaman apna gul apna baghban apna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rusvā agar na karnā thā aalam meñ yuuñ mujhe
aisī nigāh-e-nāz se dekhā thā kyuuñ mujhe
ruswa agar na karna tha aalam mein yun mujhe
aisi nigah-e-naz se dekha tha kyun mujhe
ye dil kab ishq ke qābil rahā hai
kahāñ is ko dimāġh o dil rahā hai
TRANSLATION
Worthy of love has this heart ever been?
Possessor of mind and heart has it ever been?
Sagar Akbarabadi
ye dil kab ishq ke qabil raha hai
kahan is ko dimagh o dil raha hai
TRANSLATION
Worthy of love has this heart ever been?
Possessor of mind and heart has it ever been?
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jo tū ne kī so dushman bhī nahīñ dushman se kartā hai
ġhalat thā jānte the tujh ko jo ham mehrbāñ apnā
jo tu ne ki so dushman bhi nahin dushman se karta hai
ghalat tha jaante the tujh ko jo hum mehrban apna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
itnī fursat de ki ruḳhsat ho leñ ai sayyād ham
muddatoñ is baaġh ke saaye meñ the āzād ham
itni fursat de ki ruKHsat ho len ai sayyaad hum
muddaton is bagh ke saye mein the aazad hum
us gul ko bhejnā hai mujhe ḳhat sabā ke haath
is vāste lagā huuñ chaman kī havā ke haath
us gul ko bhejna hai mujhe KHat saba ke hath
is waste laga hun chaman ki hawa ke hath
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham giraftāroñ ko ab kyā kaam hai gulshan se lek
jī nikal jaatā hai jab sunte haiñ aatī hai bahār
hum giraftaron ko ab kya kaam hai gulshan se lek
ji nikal jata hai jab sunte hain aati hai bahaar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download