Sher of Meer Soz
rusvā huā ḳharāb huā mubtalā huā
vo kaun sī ghaḌī thī ki tujh se judā huā
ruswa hua KHarab hua mubtala hua
wo kaun si ghaDi thi ki tujh se juda hua
jis din se yaar mujh se vo shoḳh āshnā huā
rusvā huā ḳharāb huā mubtalā huā
jis din se yar mujh se wo shoKH aashna hua
ruswa hua KHarab hua mubtala hua
jis kā tujh sā habīb hovegā
kaun us kā raqīb hovegā
jis ka tujh sa habib howega
kaun us ka raqib howega
-
Tag : Raqeeb
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
go nahīñ tanbūr Dholak hī uThā lā mutribā
ġhunchoñ ke chaTke pe har bulbul ne gaa.ī hai basant
go nahin tanbur Dholak hi uTha la mutriba
ghunchon ke chaTke pe har bulbul ne gai hai basant
ahl-e-imāñ 'soz' ko kahte haiñ kāfir ho gayā
aah yā rab rāz-e-dil in par bhī zāhir ho gayā
ahl-e-iman 'soz' ko kahte hain kafir ho gaya
aah ya rab raaz-e-dil in par bhi zahir ho gaya
parkār kī ravish phire ham jitne chal sake
is gardish-e-falak se na bāhar nikal sake
parkar ki rawish phire hum jitne chal sake
is gardish-e-falak se na bahar nikal sake
sar zaanū pe ho us ke aur jaan nikal jaa.e
marnā to musallam hai armān nikal jaa.e
sar zanu pe ho us ke aur jaan nikal jae
marna to musallam hai arman nikal jae