Meraj Faizabadi
Ghazal 13
Sher-o-Shayari 9
mujh ko thakne nahīñ detā ye zarūrat kā pahāḌ
mere bachche mujhe būḌhā nahīñ hone dete
mujh ko thakne nahin deta ye zarurat ka pahaD
mere bachche mujhe buDha nahin hone dete
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
hameñ paḌhāo na rishtoñ kī koī aur kitāb
paḌhī hai baap ke chehre kī jhurriyāñ ham ne
hamein paDhao na rishton ki koi aur kitab
paDhi hai bap ke chehre ki jhurriyan hum ne
- Add to favorites
-
Share this
pyaas kahtī hai chalo ret nichoḌī jaa.e
apne hisse meñ samundar nahīñ aane vaalā
pyas kahti hai chalo ret nichoDi jae
apne hisse mein samundar nahin aane wala
- Add to favorites
-
Share this
jo kah rahe the ki jiinā muhāl hai tum bin
bichhaḌ ke mujh se vo do din udaas bhī na rahe
jo kah rahe the ki jina muhaal hai tum bin
bichhaD ke mujh se wo do din udas bhi na rahe
- Add to favorites
-
Share this
aaj bhī gaañv meñ kuchh kachche makānoñ vaale
ghar meñ ham-sā.e ke faaqa nahīñ hone dete
aaj bhi ganw mein kuchh kachche makanon wale
ghar mein ham-sae ke faqa nahin hone dete
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
Videos 17
