Sher of Mirza Hadi Ruswa
dillī chhuTī thī pahle ab lucknow bhī chhoḌeñ
do shahar the ye apne donoñ tabāh nikle
dilli chhuTi thi pahle ab lucknow bhi chhoDen
do shahar the ye apne donon tabah nikle
kyā kahūñ tujh se mohabbat vo balā hai hamdam
mujh ko ibrat na huī ġhair ke mar jaane se
kya kahun tujh se mohabbat wo bala hai hamdam
mujh ko ibrat na hui ghair ke mar jaane se
marne ke din qarīb haiñ shāyad ki ai hayāt
tujh se tabī.at apnī bahut sair ho ga.ī
marne ke din qarib hain shayad ki ai hayat
tujh se tabiat apni bahut sair ho gai
ba.ad tauba ke bhī hai dil meñ ye hasrat baaqī
de ke qasmeñ koī ik jaam pilā de ham ko
baad tauba ke bhi hai dil mein ye hasrat baqi
de ke qasmen koi ek jam pila de hum ko
dekhā hai mujhe apnī ḳhushāmad meñ jo masrūf
is but ko ye dhokā hai ki islām yahī hai
dekha hai mujhe apni KHushamad mein jo masruf
is but ko ye dhoka hai ki islam yahi hai
lab pe kuchh baat aa.ī jaatī hai
ḳhāmushī muskurā.ī jaatī hai
lab pe kuchh baat aai jati hai
KHamushi muskurai jati hai
Talnā thā mere paas se ai kāhilī tujhe
kam-baḳht tū to aa ke yahīñ Dher ho ga.ī
Talna tha mere pas se ai kahili tujhe
kam-baKHt tu to aa ke yahin Dher ho gai
zarbul-masal hai hote haiñ māshūq be-vafā
ye kuchh tumhārā zikr nahīñ hai ḳhafā na ho
zarbul-masal hai hote hain mashuq be-wafa
ye kuchh tumhaara zikr nahin hai KHafa na ho
unhīñ kā naam le le kar koī furqat meñ martā hai
kabhī vo bhī to sun leñge jo badnāmī se Darte haiñ
unhin ka nam le le kar koi furqat mein marta hai
kabhi wo bhi to sun lenge jo badnami se Darte hain
ham-nashīñ dekhī nahūsat dāstān-e-hijr kī
sohbateñ jamne na paa.ī thiiñ ki barham ho ga.iiñ
ham-nashin dekhi nahusat dastan-e-hijr ki
sohbaten jamne na pai thin ki barham ho gain
dil lagāne ko na samjho dil-lagī
dushmanoñ kī jaan par ban jā.egī
dil lagane ko na samjho dil-lagi
dushmanon ki jaan par ban jaegi
but-parastī meñ na hogā koī mujh sā badnām
jheñptā huuñ jo kahīñ zikr-e-ḳhudā hotā hai
but-parasti mein na hoga koi mujh sa badnam
jhenpta hun jo kahin zikr-e-KHuda hota hai
ham ko bhī kyā kyā maze kī dāstāneñ yaad thiiñ
lekin ab tamhīd-e-zikr-e-dard-o-mātam ho ga.iiñ
hum ko bhi kya kya maze ki dastanen yaad thin
lekin ab tamhid-e-zikr-e-dard-o-matam ho gain
hai yaqīñ vo na ā.eñge phir bhī
kab nigah sū-e-dar nahīñ hotī
hai yaqin wo na aaenge phir bhi
kab nigah su-e-dar nahin hoti
hañs ke kahtā hai musavvir se vo ġhārat-gar-e-hosh
jaisī sūrat hai mirī vaisī hī tasvīr bhī ho
hans ke kahta hai musawwir se wo ghaarat-gar-e-hosh
jaisi surat hai meri waisi hi taswir bhi ho
chand bāteñ vo jo ham rindoñ meñ thiiñ zarbul-masal
ab sunā mirzā ki dard-e-ahl-e-irfāñ ho ga.iiñ
chand baaten wo jo hum rindon mein thin zarbul-masal
ab suna mirza ki dard-e-ahl-e-irfan ho gain
barbād kar ke mujh ko na hoñ munfa.il huzūr
maiñ aap mo'tarif huuñ ki merā qusūr thā
barbaad kar ke mujh ko na hon munfail huzur
main aap mo'tarif hun ki mera qusur tha
dubkī huī thī gurba-sifat ḳhvāhish-e-gunāh
chumkārne se phuul ga.ī sher ho ga.ī
dubki hui thi gurba-sifat KHwahish-e-gunah
chumkarne se phul gai sher ho gai
kis qadar mo'taqid-e-husn-e-mukāfāt huuñ maiñ
dil meñ ḳhush hotā huuñ jab rañj sivā hotā hai
kis qadar mo'taqid-e-husn-e-mukafat hun main
dil mein KHush hota hun jab ranj siwa hota hai
rakh lī mire ḳhudā ne gunāhoñ kī mere sharm
zāhid ko apne zohd pe kitnā ġhurūr thā
rakh li mere KHuda ne gunahon ki mere sharm
zahid ko apne zohd pe kitna ghurur tha
mirī betābiyoñ kā haal ġhairoñ se na kahnā thā
tum aise ho to phir koī kisī kā rāzdāñ kyuuñ ho
meri betabiyon ka haal ghairon se na kahna tha
tum aise ho to phir koi kisi ka raazdan kyun ho
khol to aañkh zarā dekh tamāshā kyā hai
vahm hai yā ki haqīqat hai ye duniyā kyā hai
khol to aankh zara dekh tamasha kya hai
wahm hai ya ki haqiqat hai ye duniya kya hai
jis ko barsoñ hañsī na aa.ī ho
us ko nāseh kī baat par aa.e
jis ko barson hansi na aai ho
us ko naseh ki baat par aae
apne sūrat-gar se pūchhūñ maiñ agar maqdūr ho
kyā banāyā thā mujhe tū ne miTāne ke liye
apne surat-gar se puchhun main agar maqdur ho
kya banaya tha mujhe tu ne miTane ke liye
usī par munhasir thī zindagī kyā
ghaTā jaatā hai dam zabt-e-fuġhāñ se
usi par munhasir thi zindagi kya
ghaTa jata hai dam zabt-e-fughan se
lazzat-e-ma.asiyat-e-ishq na pūchh
ḳhuld meñ bhī ye balā yaad aa.ī
lazzat-e-masiyat-e-ishq na puchh
KHuld mein bhi ye bala yaad aai
al-hazar ye kaam duniyā meñ tumhīñ se ho sakā
chāhne vaale pe apne khīñchnā shamshīr kā
al-hazar ye kaam duniya mein tumhin se ho saka
chahne wale pe apne khinchna shamshir ka
shikvoñ meñ bhī andāz na ho husn-e-talab kā
haañ ai dil-e-betāb rahe paas adab kā
shikwon mein bhi andaz na ho husn-e-talab ka
han ai dil-e-betab rahe pas adab ka
tangī-e-aish meñ mumkin nahīñ tark-e-lazzat
sūkhe TukḌe bhī to fāqoñ meñ mazā dete haiñ
tangi-e-aish mein mumkin nahin tark-e-lazzat
sukhe TukDe bhi to faqon mein maza dete hain
kahiye kyā āsmān se Thahrī
aap koThe se kyuuñ utar aa.e
kahiye kya aasman se Thahri
aap koThe se kyun utar aae
rakhte haiñ husn-e-zan ye butoñ kī vafā se ham
jaise ki māñgte haiñ duā.eñ ḳhudā se ham
rakhte hain husn-e-zan ye buton ki wafa se hum
jaise ki mangte hain duaen KHuda se hum