Sher of Mohammad Amaan Nisar
ḳhanjar na kamar meñ hai na talvār rakhe hai
āñkhoñ hī meñ chāhe hai jise maar rakhe hai
KHanjar na kamar mein hai na talwar rakhe hai
aankhon hi mein chahe hai jise mar rakhe hai
thā jinheñ husn-parastī se hamesha inkār
vo bhī ab tālib-e-dīdār haiñ kin ke un ke
tha jinhen husn-parasti se hamesha inkar
wo bhi ab talib-e-didar hain kin ke un ke
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujh meñ aur un meñ sabab kyā jo laḌā.ī hogī
ye havā.ī kisī dushman ne uḌaa.ī hogī
mujh mein aur un mein sabab kya jo laDai hogi
ye hawai kisi dushman ne uDai hogi
kyā fusūñ tū ne ḳhudā jaane ye ham par maarā
tujh se phirtā nahīñ dil ham ne bahut sar maarā
kya fusun tu ne KHuda jaane ye hum par mara
tujh se phirta nahin dil hum ne bahut sar mara
aa jaa.e kahīñ baad kā jhoñkā to mazā ho
zālim tire mukhḌe se dupaTTa jo ulaT jaa.e
aa jae kahin baad ka jhonka to maza ho
zalim tere mukhDe se dupaTTa jo ulaT jae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kis jafā-kār se ham ahd-e-vafā kar baiThe
āḳhir is baat ne ik roz pashemān kiyā
kis jafa-kar se hum ahd-e-wafa kar baiThe
aaKHir is baat ne ek roz pasheman kiya
mat muñh se 'nisār' apne ko ai jaan burā kah
hai sāhab-e-ġhairat kahīñ kuchh khā ke na mar jaa.e
mat munh se 'nisar' apne ko ai jaan bura kah
hai sahab-e-ghairat kahin kuchh kha ke na mar jae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
juuñ juuñ nahīñ dekhe hai 'nisār' apne sanam ko
tuuñ tuuñ yahī kahtā hai ḳhudā jāniye kyā hai
jun jun nahin dekhe hai 'nisar' apne sanam ko
tun tun yahi kahta hai KHuda jaaniye kya hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dekhe kahīñ raste meñ khaḌā mujh ko to zid se
aatā ho idhar ko to udhar hī ko palaT jaa.e
dekhe kahin raste mein khaDa mujh ko to zid se
aata ho idhar ko to udhar hi ko palaT jae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download