Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Moin Shadab's Photo'

Moin Shadab

1971 | Delhi, India

known for his Nizamat in Mushairas

known for his Nizamat in Mushairas

Moin Shadab

Ghazal 19

Sher-o-Shayari 27

us se milne ḳhushī ba.ad meñ dukh detī hai

jashn ke ba.ad sannāTā bahut khaltā hai

us se milne ki KHushi baad mein dukh deti hai

jashn ke baad ka sannaTa bahut khalta hai

  • Share this

vo vaqt aur the ki buzurgoñ qadr thī

ab ek būḌhā baap bhare ghar pe baar hai

wo waqt aur the ki buzurgon ki qadr thi

ab ek buDha bap bhare ghar pe bar hai

  • Share this

sardī aur garmī ke uzr nahīñ chalte

mausam dekh ke sāhab ishq nahīñ hotā

sardi aur garmi ke uzr nahin chalte

mausam dekh ke sahab ishq nahin hota

zarā der ko tum apnī āñkheñ de do mujhe

ye dekhnā hai ki maiñ tum ko kaisā lagtā huuñ

zara si der ko tum apni aankhen de do mujhe

ye dekhna hai ki main tum ko kaisa lagta hun

  • Share this

kisī ke saath guzārā huā vo ik lamha

agar maiñ sochne baiThūñ to zindagī kam hai

kisi ke sath guzara hua wo ek lamha

agar main sochne baiThun to zindagi kam hai

  • Share this

More Poets From "Delhi"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now