Sher of Muhammad Ayyub Zauqi
rakhte haiñ jo allāh kī qudarat pe bharosa
duniyā meñ kisī kī vo ḳhushāmad nahīñ karte
rakhte hain jo allah ki qudarat pe bharosa
duniya mein kisi ki wo KHushamad nahin karte
rāste meñ mil ga.e to pūchh lete haiñ mizāj
is se baḌh kar aur kyā un kī ināyat chāhiye
raste mein mil gae to puchh lete hain mizaj
is se baDh kar aur kya un ki inayat chahiye
hadīs-e-dil ba-zabān-e-nazar bhī kah na sakā
huzūr-e-husn baḌhī aur bebasī merī
hadis-e-dil ba-zaban-e-nazar bhi kah na saka
huzur-e-husn baDhi aur bebasi meri
-
Tag : Bebasi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
un kī nigāh-e-lutf kī tāsīr kyā kahūñ
zarre ko āftāb banā kar chale ga.e
un ki nigah-e-lutf ki tasir kya kahun
zarre ko aaftab bana kar chale gae
ḳhudā jaane ye soz-e-zabt hai yā zaḳhm-e-nākāmī
kabhī hotī na thī siine meñ lekin ye jalan pahle
KHuda jaane ye soz-e-zabt hai ya zaKHm-e-nakaami
kabhi hoti na thi sine mein lekin ye jalan pahle
vaj.h-e-sukūñ na ban sakīñ husn kī dil-navāziyāñ
baḌh ga.iiñ aur uljhaneñ tum ne jo muskurā diyā
wajh-e-sukun na ban sakin husn ki dil-nawaziyan
baDh gain aur uljhanen tum ne jo muskura diya
unheñ ḳhudā kā amal sharmsār kar degā
bichhā rahe haiñ jo kāñTe kisī kī rāhoñ meñ
unhen KHuda ka amal sharmsar kar dega
bichha rahe hain jo kanTe kisi ki rahon mein
duniyā ke is ibrat-ḳhāne meñ hālāt badalte rahte haiñ
jo log the kal mash.hūr-e-jahāñ haiñ aaj vahī gumnāmī meñ
duniya ke is ibrat-KHane mein haalat badalte rahte hain
jo log the kal mashhur-e-jahan hain aaj wahi gumnami mein
tark-e-ta.alluqāt kā kuchh un ko ġham nahīñ
ham to shikast-e-ahd-e-vafā se malūl haiñ
tark-e-talluqat ka kuchh un ko gham nahin
hum to shikast-e-ahd-e-wafa se malul hain
sochā thā un se baat nibhā.eñge umr bhar
ye aarzū bhī tishna-e-takmīl rah ga.ī
socha tha un se baat nibhaenge umr bhar
ye aarzu bhi tishna-e-takmil rah gai
bāñdhā thā ḳhud hī aap ne paiġhām-e-iltifāt
kyā baat thī jo aap hī ḳhud bad-gumāñ hue
bandha tha KHud hi aap ne paigham-e-iltifat
kya baat thi jo aap hi KHud bad-guman hue