Sher of Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
har ik fiqre pe hai jhiḌkī to hai har baat par gaalī
tum aise ḳhūb-sūrat ho ke itne bad-zabāñ kyuuñ ho
har ek fiqre pe hai jhiDki to hai har baat par gali
tum aise KHub-surat ho ke itne bad-zaban kyun ho
chaar bose to diyā kījiye tanḳhvāh mujhe
ek bose pe mirā ḳhaak guzārā hogā
chaar bose to diya kijiye tanKHwah mujhe
ek bose pe mera KHak guzara hoga
jo tere gunah baḳhshegā vaa.iz vo mire bhī
kyā terā ḳhudā aur hai bande kā ḳhudā aur
jo tere gunah baKHshega waiz wo mere bhi
kya tera KHuda aur hai bande ka KHuda aur
na laḌāo nazar raqīboñ se
kaam achchhā nahīñ laḌā.ī kā
na laDao nazar raqibon se
kaam achchha nahin laDai ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
malak-ul-maut mo.azzin hai mirā vasl kī raat
dam nikal jaatā hai jab vaqt-e-azāñ aatā hai
malak-ul-maut moazzin hai mera wasl ki raat
dam nikal jata hai jab waqt-e-azan aata hai
hidāyat shaiḳh karte the bahut bahr-e-namāz akasr
jo paḌhnā bhī paḌī to ham ne Taalī be-vazū barsoñ
hidayat shaiKH karte the bahut bahr-e-namaz akasr
jo paDhna bhi paDi to hum ne Tali be-wazu barson
aañkh apnī tirī abrū pe jamī rahtī hai
roz is bait pe ham saad kiyā karte haiñ
aankh apni teri abru pe jami rahti hai
roz is bait pe hum sad kiya karte hain
kāfir ho phir jo shar.a kā kuchh bhī kare ḳhayāl
jab jaam bhar ke haath se yaar apne de sharāb
kafir ho phir jo shara ka kuchh bhi kare KHayal
jab jam bhar ke hath se yar apne de sharab
qashqa nahīñ peshānī pe us māh-jabīñ ke
allāh ne ye husn ke ḳhirman ko hai chāñkā
qashqa nahin peshani pe us mah-jabin ke
allah ne ye husn ke KHirman ko hai chanka
shāyad mizāj ham se mukaddar hai yaar kā
likkhā hai us ne ham ko ba-ḳhatt-e-ġhubār ḳhat
shayad mizaj hum se mukaddar hai yar ka
likkha hai us ne hum ko ba-KHatt-e-ghubar KHat
hujūm-e-ranj-o-ġham-o-dard hai marūñ kyūñkar
qadam uThā.ūñ jo aage kushāda raah mile
hujum-e-ranj-o-gham-o-dard hai marun kyunkar
qadam uThaun jo aage kushada rah mile