Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nafas Ambalvi's Photo'

Nafas Ambalvi

1961 | Ambala, India

Nafas Ambalvi

Ghazal 41

Sher-o-Shayari 24

hamārī raah se patthar uThā kar pheñk mat denā

lagī haiñ Thokareñ tab ke chalnā siikh paa.e haiñ

hamari rah se patthar uTha kar phenk mat dena

lagi hain Thokaren tab ja ke chalna sikh pae hain

  • Share this

inkār kar rahā huuñ to qīmat buland hai

bikne pe aa gayā to girā deñge daam log

inkar kar raha hun to qimat buland hai

bikne pe aa gaya to gira denge dam log

tārīkiyāñ qubūl thiiñ mujh ko tamām umr

lekin maiñ jugnuoñ ḳhushāmad na kar sakā

tarikiyan qubul thin mujh ko tamam umr

lekin main jugnuon ki KHushamad na kar saka

  • Share this

ye ishq ke ḳhutūt bhī kitne ajiib haiñ

āñkheñ vo paḌh rahī haiñ jo tahrīr bhī nahīñ

ye ishq ke KHutut bhi kitne ajib hain

aankhen wo paDh rahi hain jo tahrir bhi nahin

  • Share this

zaḳhm abhī tak taaza haiñ har daaġh sulagtā rahtā hai

siine meñ ik jaliyāñ-vālā-bāġh sulagtā rahtā hai

zaKHm abhi tak taza hain har dagh sulagta rahta hai

sine mein ek jaliyan-wala-bagh sulagta rahta hai

  • Share this

Image Shayari 1

 

More Poets From "Ambala"

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now