Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Naseem Bharat Puri

1861 - 1909

Prominent disciple of Dagh Dehlavi who defended his master against all the poetic objections raised about his poetry.

Prominent disciple of Dagh Dehlavi who defended his master against all the poetic objections raised about his poetry.

Naseem Bharat Puri

Ghazal 25

Sher-o-Shayari 18

apnī mahfil meñ mujhe dekh ke kahtā hai vo but

kyuuñ mire ghar meñ musalmān chale aate haiñ

apni mahfil mein mujhe dekh ke kahta hai wo but

kyun mere ghar mein musalman chale aate hain

muñh merī taraf hai to nazar ġhair jānib

karte haiñ kidhar baat kidhar dekh rahe haiñ

munh meri taraf hai to nazar ghair ki jaanib

karte hain kidhar baat kidhar dekh rahe hain

tasalliyāñ bhī nahīñ un chheḌ se ḳhālī

rulā ke chhoḌte haiñ vo hañsā hañsā ke mujhe

tasalliyan bhi nahin un ki chheD se KHali

rula ke chhoDte hain wo hansa hansa ke mujhe

  • Share this

tumhārī teġh se āñkheñ lagī haiñ marne vāloñ

ye lailā kab mirī jaañ parda-e-mahmil se niklegī

tumhaari tegh se aankhen lagi hain marne walon ki

ye laila kab meri jaan parda-e-mahmil se niklegi

  • Share this

charāġh-e-shām-e-ġharībī thā meñ zamāne meñ

kisī ne aa ke na ThanDā kiyā jalā ke mujhe

charagh-e-sham-e-gharibi tha mein zamane mein

kisi ne aa ke na ThanDa kiya jala ke mujhe

  • Share this

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now